lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu xr – muzrim

Loading...

[verse 1]
dimaag goom sawaal kam jaawaab jyada
dil bhi pooche kya ho chuka tu paagal aadha
aisa kya hai jiski khoz mein bhaga chala
thair ruk tu mudke ghar ko vaapas aaja
kuch hua jo aisa ban gya kya (kya)
paas tha wo tere gum kya (kya)
par na leke kuch tu aaya tha to
kya paane mein tu jutt gya
haan jhund gya wo bhedo ka
tu unke peeche chal diya
kya pal diya sochne mein ek bhi
dekh bhi aankhen khol aas paas
lagte saare khaas khaas
fas gye hai khel mein
bna hai muzrim tu bhi aur
band hua hai jail mein (jail mein)
sach suna ye jail hai
dekh aiyna tu hai qaidi
sab khade hai tujhko
gherke haan gherke
dekh aiyna tu hai qaidi
sab khade hai tujhko
gherke haan gherke haan gherke haan gherke

[hook]
nikalna thoda mushkil kya tu himmate dikhayega
jhund ko tu chhod apna raasta bnayega
nikalna thoda mushkil kya tu himmate dikhayega
jhund ko tu chhod apna raasta bnayega kya
yaa band iss jail mein ek muzrim hi kah laayega
band iss jail mein ek muzrim hi keh laayega
band iss jail mein ek muzrim hi keh laayega
nikalna thoda mushkil kya tu himmate dikhayega

[verse 2]
kya gunah tha mera jo
ban gya main muzrim ek
gira tha kaafi baar par naa diye the ghutne tek
umeed thi khatam hui to sung hua tha bheed ke
paana manzil ko chahe dhaud ke ya reng ke
par ye na matlab ki main unn raho par tha chal diya
seekhna har raste se to thoda sa badal liya
haan pal liya sochne mein bohot hi
samay laga par seekhta main jaa rha ye zindagi ki bhotki
jaana har koi khaas sa
kehne ko alag hai par ye sabka ek raasta
khushi ko sab ye khojte le paiso ka haan waasta
mazboorio se hai bhari har kisi ki
dastaan haan dastaan haan dastaan

[hook]
nikalna thoda mushkil haan main himmate dikhaunga
jhund ko main chhod apna raasta bnaunga
nikalna thoda mushkil haan main himmate dikhaunga
jhund ko main chhod apna raasta bnaunga
naa main band iss jail mein koi muzrim kehlaunga
main band iss jail mein na muzrim main kehlaunga
naa main band iss jail mein koi muzrim kehlaunga
jhund ko main chhod apna rasta bnauga

[verse 3]
khel sab bus khushi ka
kya farak hai raaste ka
lambi gaadi cycle jaari
9 to 5 ya ban pujari
manzil 10 ya kholi ek
bhari wo thaali roti ek
aadi ant sabhi ka ek
kismat kismat likhde lekh

[outro]
to bohot hua ab bhagna bus khushiyan hi main chahunga
himmatein dikha di ab main raaste bnauga
haan bohot hua ab bhagna haan khushiyan hi main chahunga
himmatein dikha di ab main raaste bnauga
mil gyi azaadi ab main muzrim na keh launga
mil gyi azaadi ab main muzrim na keh launga
haan mil gyi azaadi..


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...