lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu taynali – soch

Loading...

[verse 1]

soch pure ho tere khaab
mile ghar ek alishaan jiski chokhat itni badi ke chhoti lage har car
ho charo tarf guards par log fenke kirdaar par keechad
wo aa jataa bade darwazo k paar
soch log sach m dete kamayabi m saath
par doodh k dhooley hi dete h dhokey zada
kandha dene walo k hi baitha kandhe shaitaan
soch rozana ki grind ka sahi mile anjaam
magar kaha? to fir ye ilzaam h kispe
gharpe h jo baap lekin chahie tujhe father figure
ya fir wo sarkaar jo kabhi karti na waade sache
jeb m rupe char par zor chalta khaab pe kiske
but i can relate
aage badhne k lie karta tu change khudko
kre unse compare khudko jinhe teri parwaah na
tujhe dikhe badlaaw par unhe dikhe buraiya
acceptance pane ki koshish balance khudka gawaya
mehnat lagey fir zaya, tareefe karne wale jhooty
upar se rhe khush andar nafrat hoti khudse
life m aata wo time jab decide karna
hota mushkil
konsi lage raah sahi
mushkil part wahi tum ban skte kya nahi
ye bhi dunya sikhati par ye baat jayaz nahi
log to niqal dete qudrat ki banayi cheezo m bhi khami
you know i mean?

[hook]
kaise m bandhunga
kaise m chalunga
kaise m girunga

kaise m bandhunga
kaise m chalunga
kaise m uthunga

khuda mere saath to fir kaise m marunga
khuda mere saath to fir kaise m marunga
khuda mere saath to fir

[verse 2]

mai zinda hu aaj bhi apno ki badolat
yaha be wajah ki nafrat dode shehar ki rago
kese seh li bacho ne soch jinke zehan ma
wo pade sapno k peeche hum bane khudgarz
umar m chhote jo, chhota kad un bacho ka, door na jaati nigah, wo dekhe jo aas paas
ankho k aage tabahi jo unko lage dunya
magar zindagi hai guru pakka legi imtihaan
aur fir ye koi falsafa sikhane se pehle umar ka karti na lihaaz, chalo sarhad k paas
soch bache sar jhuka ke bhaag k ghuste mandiro m
jab hai aati raat m ak-forty seven ki awaze
par nidar kisika sar pe hath h
sanse jo rakhe salaamat, chinta ki kya baat h
hume to fir bhi mile jo usme bhi rehte khush nhi
mere log mere saath to m kisise darta nai
hak-mato ka raaj chale haq milta nai
agar uthe na awaaz to mai puchhu what’s peace
if i cant free my mind to mai puchhu what’s free
kya janat bhi azaad h ye puchhe ka- – – – –
you know i mean, sh-t

[bridge]
apne jese kitne hi chalte bachke har din
bhatke jo rasto se aur dhoonde manzil
kisne kya dekha you can never imagine
kisne kya dekha you can never imagine

[outro]
koshish
bach ke chalna hai
ladkay badhna hai


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...