lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu saboor khan – isolated – reality check

Loading...

hook x2

raat soya din soya galtio pe boht roya
hath khali goya mujhe laga me ne sab khoya
j~smo ki baat nai yeh baat hai zameer ki
nai hai wafa yahan aukaat hai ameer ki

verse

sabar ka paimana labrez hochuka
yeh qalam tou ab pehle se teiz hochuka
mujhe dikhti hai logon me hasaad bhari
tou logon se milna gureiz hochuka

khud k liye sab se me larh betha
mujhe karna tha jo woh me kar betha
mujhe sunta eik shaks hai gour se
woh meri likhai pe aaj mar betha

me ghr betha like i’m isolated
meri ankhein hein bhaari yeh aansu leke
me likhun kesе aaj lafz he nai
ab lafz he nai tou mein baatun kеse

mujhe lagta har baat meri shayari hai
sab kehte hein dukh mera zahiri hai
kia yeh kahili hai ya phr aajizi hai
mujhe kehlo shaheed me ne jaan di hai
kyu hai rog beshumar kyu hai sog beshumar
mujh se khaar khane wale kitne log beshumar
mujh se haar jaane wale ab mere mureed
mere liye rakhte kuch khot beshumar

samandar ki lehro tak apno se gairo tak
tere liye mehdood anaa thi pairo tak
sookha gala phr bhi jana hai sehro tak
jaati awaz seedhi galiyon se shehro tak

khone ki baat nahi hum paane wale
hum gaano se dard ko samjhane wale
hum lafzo se yaari nibhane wale
tum soch k qaidi or hum thane wale
mere sath bethe hein gaane wale
mere lafz rakhein yaad mere chahne wale
hum karke neki bhulane wale
tum khushki mein kashti dubane wale

hook x2

raat soya din soya galtio pe boht roya
hath khali goya mujhe laga me ne sab khoya
j~smo ki baat nai yeh baat hai zameer ki
nai hai wafa yahan aukaat hai ameer ki
verse

deti dawa mujhe meri likhai
meri maa ne kabhi na geebat sikhai
mere hath me jadu ya baat me jadu
dekh k logo ne kismat mitai

rehti achai meri khaamiyoon me
nai karta burai kabhi kafilo me
me karta shumaar inka hasido me
me ne seekha hai chalna atisho me

tu kyu yeh kafiro ka yeh kafila
mere samne khara kia muqabila
mere hath me ilam sachayi ka
or qasam khuda ki naa hath gira

aj saal gira meri zindagi me
me ne kaakh kara uski bandagi me
ab kese karun uska samna
ab mehfil hai uski or ajnabi me

mein rab k diye hue irhaam dhoonta hoon
kia me suraj se mukhatib hoke shaam dhoondta hoon
kia me j ki tarha khud inaam dhoondta hoon
me apni kaala ka nizaam dhoondta hoon
me chor k jawab ab sawaal dhoondta hoon
jo chal rha zehn me khayaal dhoondta hoon
kia me jeete jee khud me malaal dhoondta hoon
me music me shayari halaal dhoondta hoon

rab ka shukar mujhe kia chahiye
me shama hoon phr bhi dia chahiye
andhere me bethe me qalam chala rha
is qalam ko jaam bhi siyah chahiye

kyu k woh mera badshah mera hai mureed
jab bhi paish ataa hadsa tou wohi hai umeed
god knows me kitna bara care less
god knows me darta nai me fearless


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...