lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu rj khan – sahara mil gaya

Loading...

{intro: rj khan}
tadpa na meri jaan (yeah)
saath chal mere (take two, pnk)
rula na meri jaan (it’s it’s)
baat maan le (it’s rj)

aye aye!
let’s go!

[verse 1]
ek din mil g~yi mujhko khuli aankhon se apsara
sambhalun khud ko pehle jo saansein sambhle zara
utre sidha meri rooh me kaisa hai ye nasha?
hasina vo mashallah, baatein hain marhaba

khilafat na hum kar paayein
ab khud ki hi na khabar paayein
karzadaar~e~mohabbat ho g~ye hum
karza tera na bhar paayein (aye aye)

[hook: rj khan & pnk banarasiya]
tu jo mili to, hai sahara mil g~ya
chanda ko jaise ho sitara mil g~ya
tu jo mili to, hai sahara mil g~ya
dariya ko jaise ho kinara mil g~ya
[bridge: pnk banarasiya]
kaise mai tujhko ye bataun? (it’s pnk)
ki kitna tujhko haan mai chaahun (banarasiya)

[verse 2]
mujhpe chadha tera yeh fitoor jo
pass aa mere mujhse hai door kyun?
karishma~e~qudrat hai tu meri jaan
bhoole na bhoole, chеhre ka noor yun

bhool sakun jo, hai aisi tu koi baat nahi
thaam liya hai to, chhodunga mai hath nahi
marte dum tak nibhaunga yeh waada
tu chal mеre sang, hum kare shuruaat nayi

khaab hai ya hai haqeekat tu?
zindagi ki hai zaroorat tu
jee kare tujhe baahon mein bharun
or kehta rahoon tujhe, “i love you” (eh yo!)

sun kya kehta hai pnk meri jaan
tere sang hai jina, bas yhi armaan
jo baatein tujhse kabhi bhi keh na saka
apne nazmon ke zariye hoon krta bayaan

ehsaas liye dil mein tere liye har pal
darkhast karun dhadkan se, ki dheere~dheere chal
hai tu khaas, teri jagah nahi lega koi kal
rakh aas, soch mat ki mai jaunga badal
[hook: rj khan & pnk banarasiya]
tu jo mili to, hai sahara mil g~ya
chanda ko jaise ho sitara mil g~ya
tu jo mili to, hai sahara mil g~ya
dariya ko jaise ho kinara mil g~ya (yeah yeah yeah)

[verse 3: rj khan]
kabhi dil ke mai lafzon ko sajha ni karta
mai baatein kabhi kisi se bhi zyada ni karta
nibha jo sakhu na, aisa wada ni karta
swadeshi bolo mujhe, gucci prada ni karta (it’s rj)

dil mein jo aag hai
to maksad saaf hai
dil me jo aap
to karta tawaaf hai

dil ki aawaz hai
jo aati na baaz hai
angry young man
log bole amitabh hai (shehenshah!)

dekha aisa khwab hai
jo laata sailab hai
ishq ke khilaf jaata
duniya ka hisab hai
tu marke bhi paas hai
rj ki kayas hai
khud me nawab
kyunki aisa hi rubaab hai

mere allah ki kalakaari dikhti hai baby tujhme
gunahon ki tasvirein hain lagai maine mujhme
zamane ka ye noor rakhta apna aks hai tujhme
qaafir bhi aur qaabil bhi ye dono hi shaks hain mujhme (let’s go!)

[hook: rj khan & pnk banarasiya]
tu jo mili to, hai sahara mil g~ya
chanda ko jaise ho sitara mil g~ya (aye aye!)
tu jo mili to, hai sahara mil g~ya
dariya ko jaise ho kinara mil g~ya

[outro: rj khan]
tadpa na meri jaan (love to the fullest)
saath chal mere (enjoy your life)
rula na meri jaan (happy new year!)
baat maan le (take two)


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...