lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu narci – ramayana

Loading...

nagri thi ayodhya ki na jahan jhootha kauf tha
dashrath ki is seemaa mein na sty pe bhi rok tha
poora tha partaap, utra thoda chehra
kyunki koi na santaan thi bas yehi ek shok tha
yagy kiya raja ne tha paane ko santaan
aaye chaar putr aur sabhi they mahan
goonje chaaro aur fir khul ke shubh gaayan
ram ki kaaya mein they swyam hi narayan
phaunche jo kishorta mein guru ne pukaara
khelne ki aayun mein tha tadka ko maara
vishwamtr ke adhyapan pe dono bhai tairte
toda kshaap ahilya ka tha kewal apne pair se
sita ka tha swyamvar mila ye paigaam
shree ram bhi they chale fir jodne ko naam
shiv dh~n~sh tha saamne aur veeron se thi sabha bhari
zor laga tha sabka par dh~n~sh hila na zara sa bhi
dekh nazara ye janka ka teer zubaan se chala tabhi
veeron ka apmaan dil kisi ka jala tabhi
laxman bol uthe kordhit hoke raja ko
raghuvanshi bhi upasthit hai ‘gar aapko andaza ho
ram ne sajjanta se fir bhai ko samjahaya
vishwatra se aadesh ram ne tha paaya
hath jode pehle fir haath lage dhansuh pe
bhari sabha mein ram ne tha dh~n~sh ko uthaaya
prtyncha ek chor se wo dusre ko le jaate
toot gya dh~n~sh prtyachne ko chadhaate
janak ki dulaari ab phaucnhi ram naam tak
dh~n~sh ki kshti ki goonj phaunchi parshuram tak
phaunche parshuram, fail gya tha sar sa
ek haath mein dh~n~sh, ek mein tha farsa
tukde dekhe dh~n~sh ke to jaise dekha ghaaav
aankhon mein tha rakt aur saanson mein tha taap
jisne toda dh~n~sh use jaayenge mita ke
apraadhi ko wo maange apne f~rs~ ko dikha ke
seh na paaye laxman sunke unki baat
fir baaton hi baaton mein shuru hua tha samwaad
ram bhi ye bole main to aap hi ke paas hoon
mera hai apraadh main to aap ka hi daas hoon
mitaane ko sandeh fir aage badhe ram
narayan ka avtaar hua jaane parshuram
ram banege raja they ye sab jaante
manthra ka dil jal raha tha isi baat se
raani ko bhadka baithi wo apni chaal se
baat kewal ek thi ab raani ke zubaan pe
adhikaar jab bharat ka to taj bhi to usko do
rani bhi thi maang baithi var mile they usko jo
sunke var hil chuka tha raja ka jahan
jaise maange na ho var, maang baithi praan
ram ne kaboola sab, rakhi kul ki shaan
praan jaate hai to jaaye par na vachan ka samman
vanvaasi kapde dhaaran, na koi raj bhog
14 saalo ka banvaas liya, raj ka na lobh
praja ne thi dekhi aisi niyati ki maar
siya aur bhai bhi they jaane ko taiyaar
ayodhya se tha chal pada unko liye rath
behti aankhon ne tha roka unka baar baar path
praja ne they suni apne swami ki har baat
ram bole lautenge ab 14 saalon baad
raja ki is peeda ka tha badh raha aakar
behti aankhon na tha yaad kiya sharvan ka shikaar
kshaap maata pita ka tha mila usko tab
soch yehi baat chora saanson ne tha jag

panchvati mein tha vaas, hua jagah se bhi pyaar
milne aaye jo bharat mila bura samachaar
bheege hui aankhein aur dil mein na santosh
peeda thi vishaal rahi thi jo noch
manjoor na bharat ko tha ram bina raaj
rakhi ram ki nishaani sar pe jaise sar ka taj
dono bhaiyon ko lubhaane thi aayi surpnakha
tha chadha sar pe krodh jab na jaadu chal saka
ravan ki behan ki jo baat taal daali
prahaar karne duadi to fir naak kaat daali
khabar phuanchi lanka, kohram aisa chaaya
maarich aur ravan ne thi rachi aisi maaya
maarcih bana mrig aur ravan bana saadhu
badle ki thi sthiti saari ravan ke hi kaabu
mrig ke peeche ram daude, teer chora zor se
unke swar mein cheekha mrig, sita sehmi shor se
laxman ko boli kya awaz tumko aayi thi
aagya hai ye meri jaake khabar lo tum bhai ki
kheenchi laxman rekha aur duade usi disha mein
saadhu banke ravan bola kya milega bhiksha mein?
biksha dene pair siya ke kutia ko they bhaage
na paar hui rekha jab kadam badhaaye aage
dekh siya ko ravan bola ye kaisa sammaan hai?
bandhi biksha dena mujhko saadhu ka apmaan hai
aisi bhaari baaton ka jab hua tha prhaar
rakhne ko sammaan g~yi rekh thi wo paar
kshan partishodh ka to ravan ne hi jeeta tha
lanka ki wo aur chala tha haran karke sita ka
aa gya jatayiu, yudh ko wo pukaare
kordhith hokar ravan ne they pankh kaat daale

laute dono panchvati dekhi ujadi haalat foolon ki
sita ko tha har liya ye chaal thi asuron ki
antim saansein leke tha jatayu ne bataya
naam uska ravan, jisne sita ko churaya
nikle sita ki wo khoj mein kaafi pareshaan
fir marg mein mile they unhe priy hanuman
sugreev ke they muh se thodi khabar jaani
aur saath hi suni thi us bali ki kahani
gale laga ke ram ne tha maana unko mitr
wo pal lage tha kishkinda ka sabse sundar chitr
ram ki nishaani liye khada seena taan ke
bhisan hua yudh waise dono hi wo veer they
taara lekin bali ko prabhu ne apne teer se
kaun laanghega samndar bas baat yahin atki
jamvant ne bajrangi ko dilwaai yaad shakti
vishaal leke kaaya hanuman chale udd
leke khabar sita ki ab aayenge wo mud
lanka mein jo pair rakha, rahe they wo soch
kahan hogi maata soch kari shuru khoj
ashok vatika mein dekhi sita ki pareshaani
diya khud parichay deke ram ki nishaani
aapka hoon sewak mujhe aise hi pehchaane
aayenge wo jald maata aapko le jaane
leke aashirwad tha kohram machaya lanka mein
ravan ki us nagri mein aur lanka ki us janta mein
ravan aage pesh kiya usko inderjeet ne
bandhi bane vaanar ko to bole saare dheeth hai
khiskina ka vaanar hoon, pawan ka main poot hoon
bole hanuman main to ram ka hi doot hoon
mrityu dedo usko jo bhi ram dhun gaata ho
bhivishan sunke baat bole apne bhrata ko
ram ka paigaam maana inke dwara suchit hai
doot ko mrityu dena baat par anuchit hai
sunke baat ravan bola, ye bhi baat theek hai
jala do iski poonch, yahi ek tarkeeb hai
tel daal pooch pe aag to laga di
jalani kya thi poonch saari lanka hi jala di

hanuman bole prabhu se wo leti naam ram ka
mata ka bhi haal waisa jaisa yahan aapka
haasil karke sita ko ab lenge wo bhi rahat
na ram naam se pathr doobe na kisi ka sahas
yudh ka to ranbhoomi mein baj chuka tha danka ab
paani pe they patthar taire, setu bana tha lanka tak
lanka se nikaala tha vibhishana ko bhi ravan ne
ram ne tha bola unhe aapka bhi swagat hai
pehal na di ladaai ko, dikhaaya sajjan roop
angad ko bana ke bheja lanka shanti doot
pair jama ke angad bola dekh lenge jeet kaun
pair mera hil jo g~ya, haar g~ya main sita ko
hila na paaya koi par saare they naakam
uski surat pe tha gaurav aur muh mein ram naam
ek na thi suni ravan ke gumaan ne
bol diya angad ne bhi yudh ka ailaan hai

k~mbhkaran bhi ban ke aaya vaanron ka kaal
bhishan hua yudh aur poora hahakaar
bhaynkar uski hasi gonj rahi thi kaano mein
ram ne tha taara usko par apne baano se
aaya meghanad fir karke wo devi ki pooja
baan maar ke dedi thi laxman ko usne murcha
bhaari hui raat, ruki bhai ki awaz
sanveeni hi thi is murcha ka ilaaj
hanuman ne laga di ram naam ki dahaad
booti choro laa baithey wo saara hi pahaad
murcha jaisi tuti wo bhadke jaise jwala
pooche kahan wo prani chal se chalne waala
kriya mein tha yagy uska devi ke thikaane mein
yagy hota poora jo fir mushkil thi harane mein
kaata uska sar choota teer jo kaman se
yagy hua bhang aur mara wo bhi jaan se
khabar phaunchi lanka to dil mein bhi malaal tha
aankhon mein they aanshu aur krodh se wo laal tha
karke shiv ki stuti ab nikla wo maidaan ko
liye dus sar tha chunauti deta ram ko
ram chore teer maana khaali na wo jaata
sar kat ta ek aur dusra aa jaata
vibhishan ne bataya aise chorega na praan
naabhi mein hai raaz wahi pe maaro baan
naabhi pe ram ne chora tha jo baan ko
ravan tha pechana they naryana ka avtaar wo
ravan ne bhi maana hona yahi tha najaam to
prano ko tyaag yaad kiya usne ram ko

marta na lankesh ‘gar hota na gumaan jo
ram ne pranaam kiya ravan ke bhi gyaan ko
sty tha vijeta na jeet bas hamari
14 saal poore, ghar jaane ki taiyaari
pushpak pe sawar, b~rs~ aasman se phool
ayodhya ke har ghar mein tha bas deepon ka hi door
na kise se tha gila ram ne haan paala
sar pe rakha taaj aur raaj ko sambhala
cheer ke seena bole sabha mein hanuman
jahan baste mere ram yahi hai wo sthaan
jahan baste mere ram yahi hai wo sthaan
jahan baste mere ram yahi hai wo sthaan

(ramayana’s chuapaai)


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...