lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu mehdi maloof – kaheen main khirki

Loading...

[kahin main khirki + mehdi maloof]

kahin main khirki tou nahin
ya phir sofa hun koi
kahin main table tou nahin
ya phir mouza hun koi

han nang~y asman pe main, tanha koi badal tou nahin
kahin main pagal tou nahin
kahin main pagal tou nahin
kahin main pagal tou nahin

sehra kisi ki rayt main, main bhatka va koi zarra tou nahin
kahin main tharra tou nahin

aur kahun main tumhe sirf yahi
nahin, nahin, nahin, nahin, nahin
kyun ke nahin main bhi kabhi kabhi sahi
sahi, sahi, sahi, sahi, sahi

aur sab lafzon ke peeche
sab deewaron ke neeche
bas woi, woi, woi, woi, woi

mujhe kuch yad tou nahin, kahin ye khwab tou nahin
kahin main hun bhi ya nahin

han taptay asman pe main, din main koi chimgadar tou nahin
kahin mein khabarr tou nahin
ya phir paparr hun koi

geeli kisi deewar pe, phisalti vi main makkri tou nahin
kahin main larki tou nahin

aur kahun main tumhe sirf yahi
nahin, nahin, nahin, nahin, nahin
kyun ke nahin main bhi kabhi kabhi sahi
sahi, sahi, sahi, sahi, sahi

aur sab lafzon ke peeche
sab deewaron ke neeche
bas woi, woi, woi, woi, woi

mujhe kuch yad tou nahin
kahin ye khwab tou nahin

aur main koi sofa tou nahin
jo main lagta hun sahi, han kisi konay main kahin
aur na main mouza hun koi
jo main rul jaon kahin, kisi ke kadmon main kahin

han nang~y asman pe main, tanha koi badal tou nahin
kahin main pagal tou nahin


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...