lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu kshitij wagh – kambal kambal

Loading...

ye aaphat hai ye uljhan hai
khata peeta anshan hai
ghar tera hai paagal khana

phir bhi iski aankhon mein
kambal kambal balon mein
ho jaaye tu pal mein deewana

ye aaphat hai ye uljhan hai
khata peeta anshan hai
ghar tera hai paagal khana

phir bhi iski aankhon mein
kambal kambal balon mein
ho jaaye tu pal mein deewana

yori reyi
yori rou

anjaani ghalti hi hai ye
anchaha tohfa hi hai ye
par ab ye hai ghar ka mehmaan

dikhta hai ye charpaayi
jaan le par mere bhai
ye toh hai ye pura insaan

iske bhi kuch khwab hain
ke juton mein kabab hain
pehlenle gar tune khud pehchana

phir bhi iski aankhon mein
kambal kambal balon mein
ho jaaye tu pal mein deewana

yori reyi
yori rou

ye bin maange hi pyar dega
kya hai kyun hai na puchega
jitni bhi tu karle manmaani

ye insaanon sa ban na paye
iske andar kaale saaye
ban jaate hain dhoop suhaani

kya tu isse jalta hai
ye seedhapan kya khalta hai
jisse tu hai kabse begana

phir bhi iski aankhon mein
kambal kambal balon mein
ho jaaye tu pal mein deewana

ye rahat hai ye darpan hai
tera khoya bachpan hai
isko hi tune ghar hai mana

iski bholi aankhon mein
kambal kambal balon mein
ho jaaye tu pal mein deewana


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...