lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu jokhay – gulshan

Loading...

[verse 1: shareh]

wou waqt mujhe yaaad, jb sakht thay halaat
aur wahi yaar saath, wahi bahar bethe raat
kabhi jeet kabhi maat, kabhi gham ki hou ghaant
kabhi khushi dete baant, pasand kre meri art saray
dushman ka jhund g~ye bhaag saray
mai roshan kru naam, lag~y daagh saray
mere sath aag baray, puff maray pass karay
bus bakwaas na karay

mere sath mere idol, tu betha idle
chotay ghiss tu kese cheenega mujhse yeh title
mai tou liney likhu jese holy houti bible
k!ll’em with the venom, saanp milay mujhe viper

times up, puray qoutay
5k bills, kiukay sab sikkay khotay
sheerkhua rappers yeh vibe mujhe low day
yeh naam rakhou yaad, kiukay naam kaam par houtay

sheher ki hu shaan aur future hu mai gulshan ka
og certify kre tujhsе tou puchu na
aye baye shaye krе laga mujhe rotu sa
kaun kab jaye kiya pata kab lotunga
bolay shaitaani par sar par hai halo
tum baatain na pelo, tum zada na khelo
raaz jo tum baant’tay tou bharwati tum fail hou
atay tum zer hou, tou bars tum yeh lelo

batil ka qatil hu, khushi kr hasil lu
aalim na faazil hu, game ka mai shatir hu
jarh urdu rap tou is par mai ghalib hu
gunnahgaar phr bhi roz sajdo mai aa giru

ghar ka tha bara, sbsay hu ma lara
on the loose like a k!lla, got a j jese dilla
mai tou pee k bhi na hila, aur mera na koi zilla
meri baatain hai chataaan, aur mai khara jese qilla

flow like skepta, du tujhe repta, soch mai tu qaid tha
khud pe chotay rehem khaa, wahi parha sehem jaa, red zone mai danger
paper canvas, mai jese painter
zabaan lambi jese saray hou mendak
mojo jojo mai karu tera brain cut
door phenku tujhe mera aim at ur~n~s

[hook: jokhay]

faasle na katain
hum rahen ya na rahen
gird humaray khuaabon ke
chand log humpe hansen
[verse 2: jj47]

main betha hun gulshan main phool mere log! or oos unpe raingti
sunney waley lafz mere chuntey jesay mere ganey barey qeemti!
jo haq hai wo luck nahi! jo tera hai wohi tujhe mil k rahe ga
mai likhta sachai aur itni likhai kabhi krun nahi ginti

laga hun hustle main hua jabsey baligh
khud ki ghulami bana deti malik
zamaney sey das kr! hum seekhien hain hus kar
26 umar lakin lagta main chalis
aur batien hain khalis! tu inki qadar kr
milega tujhe bhu sab thora sabar kr
asar kr tu apney pe! itna agar kr
yeh teri hai dunya! tu achi nazar kr

dikha dey hamey bhi kinarey koi
gardish main nahi sitarey koi
main dhondu agar ch tu miltey nahi
sehehar main bachey nahi hamarey koi
dikha rey koi aur jata rahe koi
bulandi nahi bharti khasarey koi
ata hai yun to sabhi ka hi waqat
guzarey koi aur sawarey koi
musafir! ab manzil khuda k hawaley
main rozana girta woh roz hi sambhaley
yeh jado jehad bhi na krti bhalai
laga k jo bethogey ge aklon pe talley
app beeti kahani hai lafzon pe bhari tu iskey unwaan sun
yeh batien hoti n~z~l! main fazil! laa idhar kaaan! sun

[hook: jokhay]

faasle na katain
hum rahen ya na rahen
gird humaray khuaabon ke
chand log humpe hansen

[verse 3: talhah yunus]

kahanian likhta nahi mai
gawahon se puchu k kitna sahi mai
likhta raha saalon se ginta mahinay
nai parta fark mujhe tu kitna ameer hai
aasmaanon pe mehl, zameenon pe jeetay
zameenon pe sotay, zameenon se seekhay
zameenon ke ho ke , par ye dunya ye peechay
hum seekhay saleekay, tum seekhay tareeqay
style mera chaap le, mai gulshan ka iqbal jese
aa na mere raastay mai, dunya bhi misaal dekhay
qalam ka kamaal dekhay tera bura haal dekhay
sun mere laal tu bhi chalega wuhi chaaal betay
checkmate! mai hu tera death bed
baby teri wet wet, nai hota mai set wet
launday hote left weft, sun ke meri net worth
phelay mere network, im the one who reps love

“musāfir ke raste badalte rahe
muqaddar meñ chalnā thā chalte rahe
~ bashir badr”

muqaddas tanhaiii se larte rahe
hum darte bhi thay par hum darte na thay
hum lafzon k taajir, sambhalte na thay
wo paise k peeche hath malte rahay
sitaaray hum jese ubharte rahay
woh gaanon ki baarish se jaltay rahay

baaten meri gehri tu bhi doobega chal terna seekh
murree chor jaani, carlsberg lao ya hennessy
meri technicalities ye likhun sirf reality
my melodies are remedy mai laya musicality

d~mn!

lemme save you baby i can be your superman

bol kon laaya phir urdu rap ka…..

[hook: jokhay]

faasle na katain
hum rahen ya na rahen
gird humaray khuaabon ke
chand log humpe hansen
imtehaan ki inteha
khaamiyon ke darmiyaan
roshni ki jaanib chalen
ke phir na ho yeh nayi subah


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...