lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu jokhay abdulaziz – 10. raabta | jokhay | talha anjum | hashim nawaz

Loading...

talha anjum
tu likhay dard
tou mein ag~y behisaab likhu
tou likhay sham
mein gham, gillay aur sharaab likho
tou guzara zamana lag~y
mein tujhpe kitaab likhu
riyazai kamzor meri
duniya garbari karti hisaab mein kyun?
khuli kitaab bhi hun
rehta hun khud mein aik raaz sa kyun
urdu rap ko mai laazim hun
urdu rap pe mein naazil hun
apne khuab kiye puray
apno ki umeed e naz ka qatil hun
apne khuab kiye puray
khuaab manzil hai aur mein aik musafir hun
khuda ne di hai yeh izzat
qasam khuda ki mein nai tha is laiq bhi
angrezi rappers ko sunta tha
tooti phooti jaisi bhi samajh ayi thi
mein sirf karna chahta shayari
meri kalla lagi logo ko kahili
maa ne har khuaahish ki puri
zarurat mein banni baap bhi bhai bhi
mein likhta nai qalam se
kahin ansuo se bikhar jaye na shayari
andar se hum sab udaas hain
muskurahatein hain zahiri
came from a broken family
music hi mera escape tha
mur ke ab dekhta, haal ajeeb tha
ab mein laakho mein yeh gaany bechta
ab mein khеta hun zindagi stage si
jo mein na karu wo nai mainstream
mеin badtameez lekin mehenti
mein fans ke dil mein rahu rent free
meri jaibo mein note bharray pant ki
hashim nawaz
i only show you what you can see
mein ne jaan laga di ke loug mujhay jaanein
ab irritate karti attention

mujhay khokhay pe loug rokein photo ke liye
pasand nai nikalna hai ghar se
zimadari se kehta hun gussa ki asal waja
aksar banti chars nai

hum maslo ko dekhtay hain face value pe
nai pakra paatay unhein jarr se
mein sunanay betha jo apni tou pucho ge
kya wo dard bhi dard thay par

abhi jaa nahi
dil khaali hai teri zarurat hai
nazrein bhula rahein
abhi jaa nahi

jisk e honay se tha saaya karri dhoop mein
jo sach dhoond leta tha mere har jhoot mein
rishtay amar hain yeh raabtay nai toot’te
abhi jaa nahi

ab jab lafz hein waqt nahi
each day tera bhai karta evolve
baqi yeh londay hein ab bhi wahein
nahi banay gi tu meri fantasy
but still u will be my fan to see me rap
in ke liye na kabhi karta hun gaari gaadi reverse phir
karunga mein kesay inhein back

log karte shore jin ke beech hun mein
jo bhi sunay mujhe us ke qareeb hun mein
rangeen hun ghareebon ki sohbat se door hokay
samjh betha khud ko ameer hun mein

mere saath waalay saath waalay kamray mein
aur is kamaray mein ghair mere saath hein
thora jaagra ziada mein sapnay mein
awaam kab tak karunga bardaasht yeh

zarf baante de bolay kalam mere haath mein
kabhi hotay sher bina kaafiye
mehmaan saaray apnay hi gharon mein
insaan sada mohtaaj agli saans ke

inhein khush karna lag~y mehez hasrat
mukhtalif log lete mukhtalif matlab
in baaton ka mein waqt kesay nikaal ke dekhun
ke hein yeh naraaz ya karte hein nafrat

khair jo bhi unkha shukryia
jis jis ne bhi likhnay ko lafz diya
pass takht inke jorta par kursiyaan
begharz thora khud ko hai kardia
mein ne ghar dia in ke dillon mein khud ko
jaati over headlines meri khabar tum ko
mein aik talib ilm khojta jawaab
kaafi lia seekh lekin dhoond paya nahi khud ko

khanabadosh mein do mujhe dosh ni
tum mujhe jaantay bas ho mere dost ni
agar mein khalaae makhlooq tere mutaabiq
tou mere aag~y yun hawa mein chor ni

toofan tera bhai jab bhi kare kaam
if i drink and drive to traffic honi nahi jaam
zehn pe zorr de kon mein bol de
bhai tera koilay mein heera khultay in ke nahi kaan

mujhe na pata kia mera hai level
kia yeh lete hain mera naam
na rahun ga yahan par kahun ga
kiya tha rap talha anjum ke saath

mein sidein ni leta
tum meri is aadat ki waja se ho na naraaz
in ki nazar mein hun kia khuch nahi mein
jo nahi to bas kalakaar

abhi jaa nahi
dil khaali hai teri zarurat hai
nazrein bhula rahein
abhi jaa nahi

jiske honay se tha saaya karri dhoop mein
jo sach dhoond leta tha mere har jhoot mein
rishtay amar hain yeh raabtay nai toot’te
abhi jaa nahi


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...