lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu gravity – bandish

Loading...

[verse: gravity]
meri zindagi mein kuch baaki na hai
yeh dard hi mera aashiyan hai
har kisi mai hoti khaamiya
par sab na bulate barbaadiya hai?
yeh kya kiya hai maine, khud hi na jaanu mai
apne hi paap ko ab na pehchanu mai
kitne hai saal guzare inn raaton mai
dekhke sapne jo ab poore na honge!
ha, kho diya apni aulaad ko
boya tha beej, woh bana tha pedh
par kisi barbaadi ke hi j-pet
mai aake uska ab hua naash toh
kya karu? mitti mai aabru
khudke hi karmo mai jhaak lu
budhape ka tha sahara
uski kandhe pe yeh laash lu
chita pe aaj tu soya par fir bhi kyu tu lag raha zinda hai
kitne thhe bandhan yeh tujhpe par beta tu aaj aazad parinda hai
kaash tujhse mai aaj maang lu maafi par tujhme na jaan hai?
sunn bhi leta mai baatein yeh teri par na tu ab mere saath hai

[refrain]
saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai
karna mat shor, yeh bandish woh dor jo mukt, ab toot chuka hai
saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai
karna mat shor, aawazo ke sagar mai dekh, tu doob chuka hai

[verse: gravity]
pita, maafi ki aapko jalani padi yeh chita
aapke sapne mai aana yeh mera
kyuki jeete jee sirf andhera tha aapke aur mere beech
hume samay na mila. kaisa tha woh silsila?
aap hi ki wajah se mili yeh saasein
aap hi ki wajah se khudme jhaakke khaamiya dhundhna seekha
chizo ki koi kami kya? na
par aapki galti thhi kya? ha
aap hi ke kaaran toh khoya tha khudpe vishwash
aap hi ke kaaran apnana pada mujhe yeh jhootha aur bhadda samaj
aap hi ke kaaran toh, aap hi ke kaaran toh sapne yeh chhupkar ban g-ye thhe raaz
aap hi ke kaaran toh kabhi na kaabil ban paaya uthane ke liye aawaz
aap hi ke kaaran toh, aap hi ke kaaran toh jal rahi chandan pe meri yeh laash
aap hi ke kaaran toh khudse naaraazi, aur khudki barbaadi ho jaane se maine laga li thhi faasi

[transitional scream]

[refrain]
saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai
karna mat shor, yeh bandish woh dor jo mukt, ab toot chuka hai
saason ko rok, inn aakhon mai jhok yeh dhool, tu bhul chuka hai
karna mat shor, aawazo ke sagar mai dekh, tu doob chuka hai


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...