lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu blobhit – midnight crisis

Loading...

naya din, aadhi raat par qayamat wahi
hain chalti saansein, chain dil me salamat nahi
nazron ne dekhe na jaane kittne chehre badalte
pehchaan badli na, par ab un me na baat wahi

pal bhar ki yaadein
tasveerein dikhaati, waade kittne
hain toote, aur kittnon ne hai rakha
bharosa zinda
zindagi jeeni zyada
behtar lagti sath unke
jin pe bharosa karke
aankhon ne kabhi na roya

maksad andhere ka main
puchun parchaayi se
kya keemat khushiyon ki
bataati bas tanhayi hai
maut ka swaad chakhti
dhaar bas talwaar ki
galtiyon ki keemat
sirf pachtaane pe dikhayi de

usoolon ki ye duniya
jaise khel ho shatranj
har chaal hai chipaata raaz
kaun kya hai sochta
sun ne waale bohot
sabko baatein ye naseeb nahi
hain paas rehtey log
par saare wo kareeb nahi
matlab ki duniya,.
yahan pe sapne bikte raddi jaise
noton ki kami nahi
gareebi yahan soch me
agar 10 ko dhakka de kar
ek badhta aagey
us se achha 11 log chaley
saath milke behtar

be~imaani ke iraadon se na
hotey kaam nek
bikti sadkon pe na kaamyabi
hoti haasil mehnat se
un kadmon ko sikhaake
chalna raste pe, jo door
jaate jhoot se, mushkilon ke
parvat pe na chadh ke aadha kood te

faraq bas koshis ka
jo rukta hai, wo haarta
aur jo na rukta hai
wo haar se hai seekhta

ye duniya dal dal hai
na keechad me yahan dhasna hai
agar kuch hai karna
to hai khilna jaise ho kamal

andheri raat
taare zindagi ka raaz kholey
tooto toh aise
giro sab pe ban ke dua

raunak ke charche bade
chaand ke mashoor par
taaron ke bina nahi
aasman hai pura

adhoorey pan ko bharta
likh ke main khaamoshi apni
hai syaahi behti
jab bhi aansu behte aankh se
ye duniya jaane kya un raaton
ke andhere ko, jo dekhti mujhe
roshni me bas chamakte

baatun dil ke tukde
muskura ke, sabko apne haal ka
hun jaayza main deta
rakh ke paas apne kya karun?

jo baant ne se ghat ta
usko baant ke khatam karun
ye zindagi sitam
isko jee ke main karam karun
hun laakh leke sapne baitha
buzdilon si jaan na
hun jaanta, jahaan roz doobta
hai saath roshni ke
jaise doobta hai suraj
maut likhta apni khud
insaan kaisa moorakh

subah na dikhti
na andhera hai, ye kaala saaya
banaaya isko hamne hai
aur hamko hi mitaana

aas paas ittne befikar hain log
main hun sochta
hai ye sach, ya hai vehem ye mann ka
kya pata?

bebasi me sar patakta
khud se baatein zyada
hun karta jaise ab na
koi hai bachaane wala
aane waala mere paas
jo hai mera, chaahe jeet ho ya haar
main na peechey mud ke jaane wala

ladhai chalti mere mann me
rehta maunn main
sawaal karta khud se
kya hai tu? aur kya hun main?
samajh na aata, kya ye main
ya hai darr mera?
ye zindagi, hai zindagi
ya khauff maut ka?

sapne dekhun udney ke
par doob jaata khud me
dhoondey saansein ye ghutan me
thodi chain ki hawa

bikhra tukdon me
samet leta khud ko hun akele
ban chuka hun ajnabi
na khud ka hai pata

chamgaadad chabaane se fursat ni logon ko
hai ye do hazaar bees (2020)

jaan leva kal ki taiyaari ham kar rhe
har din bo ke zehriley beej

insaano ke kiye karam kheech rahe
unhi ko ab maut ke kareeb!

ham kab tak in baaton se ferengey muh
jaise dharti pe ham ajnabi?

chapwatey hariyaali bachao, par ham hi katwa dete ped, banwane imarat

failaatey ham sheher hi ittne badey
ki taazi hawa saariho jaaye g~yab

paaley ye fefdon me saikdo’n bimaariyan
phookne ka naatak toh alag hai

fir kheechey cylinder se wahi hawa
jo kudrat ye deti hai fokat me

gar ittne ameer, fir jaan ki bheek
kyun maangte kudrat bigadti toh?

tin ke ki haisiyat lekar, barbaadi
bulaane ki fitrat insaani hai

ham hi apne kal ke ghulaam
ham hi apni saari dikkato’n ki jadh

hamaare hi haath kalam
kyun ni likhte barbaadi se kuch bhi alag?

kahin bhadwo’n ke bheje me bhari
peechey paise ke pagal ye duniya sadak pe

laalach ke khaatir bikwa dein ye dharti bhi
marney pe chaahe tadap le narak me

dharti bhi chodey na laayak ye jeeney ke
padd jaaye lene ke dene fir

khareedi na jaa sake daulat se hai wo
jo saansein ye lete halke me bhar

insaano’n ko khud se bachaane ke khaatir
koodi hai kudrat ab beech me

fir bhi samajh nahi paate
ham zinda bachtey lekar kudrat se bheek hain


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...