lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu blobhit – khanjar flow

Loading...

ham khaate dhokhe
dhakke, aur khud se
takkar, na bhaage dabake
dum, ladhte datt kar
jo leta panga
use rakhe patak kar
le rasta seedha
na kaatey chakkar
ye duniya gol
aur main ladka tedha
jo tik sake apne
kadmon par
har wo shaksiyat
jiske chehre pe
na naqaab
na lagta asli ab
log nakli ittne
ki nakli rehna hi
ban chuki inki
asliyat
flow ye khanjar jaise
hai ghusta dil me
hairaan dekhe ye
mujhko sab
main toofan jaise
hilaake rakh dun
is sheher ko
hai ye mera wakht
laaya wakht main
chod kar zamana
sabar ki kaafi hai
ehmiyat

sunta main zamaane ki
toh main banta wo
jiske muh pe
laga hai taala
main keh raha jo main
kehna chahta
kuch sun rahe
jinke muh pe taala
ye baaki saare
hain yaar mere
jinhone mera hai
saath thaama
main karta baatein
ye hain katal saari
ghoomti firti
har jagah
cheerta mukhautey
zubaan se
rehta aafaton me
ilaake me
chaal baazi jinki
hai aadat
unko tabaahi bhejun
lifaafe me
jittna gehra doobun
main uttna ooncha hi
udd sakunga
khayal ye
soch gehri ittni
ki doob jata main
khud hi kab
na pata chale

ghadi sabke haath me
par haath me nahi wakht
maut aur zindagi me
zyada nahi fark
khanjar ye flow mera
kar dega tukdey jo
gin ne ko paas tere
bachega na wakht

khod daalun aasman jo
gir pade heerey
ye mausam barsaat ka
baadal hun main
beat pe main sher
hun dahaad deta maut
bina rehem karun khoon
beta pagal hun main

aukaat ki seedhi pe chadhke
barbaadi ki tanki me
dupki lagaate
ye laundey
tanki me zeher hain
inko nahi maalum
ye zeher nigalte hain
nasha samajh ke

b p m one twenty
four, denzel curry
beat, ye hai sumo

gaane me bhara hai nasha
utaaro dimaag me
kaanon se sunno


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...