lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu amit bhadana – father saab

Loading...

[intro]
amit beta!
chal uth jaa
aree kitne mahino ka soya hua hai
amit!
chalna nahi hai kya?
abey mai hun
pehchana nahi?
tera baap
bappu!

[verse 1: king]
re bapu, tune sikhaya jo kabhi bhula nahi
galti na ho to suraj ki aankho me taad le
jahan ko pade wo kadam ruke nahi
soch aisi ho chattano ka bhi seena paad de

logo se tere ghutne aaj tak teke ni g~ye
kyun ki aiso se kabhi ghamand ke kapde feke ni g~ye
or jo data raha aakhiri saans tak wo saathi hota hai
o sach ka khada bhi ek anek me beta kaafi hota hai

(rrrrrrrraaaa)

[chorus: king]
or jo haq ke liye lade sabse wo baap hi hota hai
peeth pe chadke duniya dikhe jiske wo baap hi hota hai
or jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai
zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai
(oooooo)

[verse 2: king]
baapu tеri khubi saari mujhme sama rakhi
o tere jaisi mainе ijjat kama rakhi
o jab farz uthaya zimmedariyon ka tabse hi dukhi maine kabhi nahi maa rakhi
wo roz mujhme teri chavi dekha karti bapu

parchaiyan shero ki kaha marti
ek wajah hoti hai jo jeene ki bapu
wo maa ki aankho me dikha karti

tu nahi duniya me par teri baat rahe
rampal fauji ke poto ki poori thaat rahe

(rrrrrrrraaaa)

[chorus: king]
o rakhke haath jo sar pe mita de gam saare
baap hi hota hai
sahi or galat me farak batave aisa baap hi hota hai
or jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai
zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai

[verse 3: king]
re bapu aankh mile aasman se jab jab chehra tera dikhta hai
mai roj ladun toofan se banda thehar kaha khinchta hai
mai roj puchu bhagwaan se kyun tu saath nahi dikhta hai
tu taras hi khake jagah batade khwaab jaha bikta hai
kyun na wahi se hi jaake mai khareed lun
mujhe maange se pyaar milta nahi
par, tera hi diya hua sab rakha bhole
bas mujhe baap dikhta nahi

[bridge: amit bhadana]
aaj tere bina bhi main
teri hi nazro se duniya dekhta hoon
mai aaj bhi tere na hone ka dukh
ek haste hue chehre se lapet’ta hun
baapu teri duaye kuch is tarah mere saath hai
aaj dharti pe khada hoke main
poore ka poora aasmaan samet’ta hun

[outro: king]
bapuuuuu
bapuuuuu
or jo daante chahe maare par dil ka saaf hota hai
zyada fikar na kare zamane ki wo baap hi hota hai


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...