lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu aeinen – shuruwat

Loading...

kaha se start karu, samaj nahi aa raha
barbaadi vala keeda meri zindagi ko kha raha
ankhon ke aage, andhera jaise chaa raha
kabhi kabhi mujhe lage mai kisi kaabil nahi
mere khud se hi vishwas uth ta jaa raha
k mai poora hu pagal, mujhme koi akal nahi
dil ki baate bolta hu karta kabhi nakal nahi
dorhta hi ja raha hu zindagi ki dorh me
na jaane zindagi le aayi kis mod pe
jaha se aage na hai piche ka koi raasta
kaha se sunau ab mai zindagi ki daasta
vaasta khuda ka, jo bhi bola maine sach hai
kya zindagi hogi meri behtar mujhe shak hai
aaj bhi, mujhe bs khud ko hi saabit karna hai
zaalim is zamane se khud hi ab ladna hai
nahi ab thamna hai kisi bhi haalat me
akele hi acha hu aise jhoothe saath se
sabne mujhko diya dhokha jinko apna maana
musibat k waqt sab ke mooh par bahana
dimagi halat meri thodi c kharab hai
sabke sab sawalo ka dena ab jawaab hai
zindagi ko padhu, padhta nhi kitaab mai
sab baate dil se bolu zara na dimaag hai
khraab hai, meri soch thodi c jyada hi
kisi ka dil dhukane ka mera irada nahi
bolna ab zyada nahi, kar ke dikhana hai
khud se kiya hua bas ye hi ek waada hai

verse – 2

seekha kitna kuch maine is zamane se
samjha kitna kuch ab logo ko azmaane se
k mehnat hi aati kaam, na aata kuch or
in masoom chehro ke piche, chupe hai kitne chor
par in baato ko chod, mehnat karta mai roz
dhoond na hai khudko abhi karni hai khud ki khoj
banke dharti pe bojh log ghumte samaj me
badal liya hai khudko, ab badalte is haalat me
saath me kismat ko, lekar chalu haath me
likh raha hu kismat meri jaag k ab raat me
anjaan logo se din raat mulakaat
samaj nahi paaya koi mere haalat
sabne socha ke mai hua barbaad
karna kitna kuch abhi ye to shuruwaat


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...