lirik lagu zyrap, sick pundit - through my eyes
waqt awaaz ko noch de meri
yeh gaane banata chala mai
seekhne hua tha shamil
par gaano se kaafi sikhata chala mai
aaj 100 lafz bhi kam
is bhaar ko gaano me baantne ko
sab bole kala amar teri
kala ke peeche na jaan de un
2006 ke janme is yuvaak
ko bachpan se karna kuch aur tha
jab saare kitaabon ke peeche the kaid
woh panno me baatein tha jod raha
haan, aankhon me khwab saje the hazaar
par zariya tha gayab umeed ka
sab todne shamil the saazish me
sabse khafa khud ke maazi ka hosh na
tha kamra ek jiski deewaron me
kaid thi nagmo ki cheekhein us gaayak ki
na dikhna tha zyada use
lekin badle bas thodi si maange woh roshni
2 gaano ko likhne mahine bhi lag jaate the
jise 2022 me
2024 me 40 se upar the gaane
us shayar ki dard~e~dil aayatein me
aaj nahi girna zamane ke aage jo dua ke badle de bheek
mai tootunga itna ki bache na rooh, na bache yeh j~sm, na bache yeh dil
yeh todenge kya hi us shaks ko
khud se jo sheesho ke toote se ghar me hai kaid
tu lakh baar de aawaz khushi me
par ghamo me milunga tere kareeb
sabhi sun chuke gaane mere
lekin muh ke aage bole jaante nahi
yeh jalan hai apno se apno ki
apno tak rakhi jo wafa hum baant’te nahi
tum kya hi gin doge
maine haq ka nahi khaya kisi ke kabhi
yeh saare hi mauke talashe girane ko
neeche nakaabon se zakhmi hai j~sm
bas aur nahi
bas aur nahi rehna is bandish me
sochege log kya
tu kala ki izzat nahi karta
par maali se paudho ka mol nahi poochna
yeh paisa, yeh rishtey, yeh shaurat hai dhool
toh dafna do neeche
munafiq the sabhi dilase jo diye
janab toh maazrat, bas kabhi wapas nahi lautna
shhhh…
shaant ho
junoon ko mayassar khwab ko
kya hi kosoge mujhe ya meri parchayi ko
khud ki jab chhaya pe daag ko
ek phool ki keemat nahi hoti hai baagh me
maalik jab khud uska khaas ho
sabhi ko ugta hua suraj pasand
kyunki roshni aans de mare hue khwab ko
yeh khoobi thi khoon me shayad
jo ubhar ke chamki zamane ki nazaron me
yeh shayar ko shraap khuda ka
jo aaj bikhar jata akshar ban panno pe
mai baahar se zahir karu khushi
bheetar se man mera kaid sawalon me
mujhe khana nahi maa~baap ke paiso ka
chhota hu ghar ka par bhara sawalon se
kyun?
dilase du jhoothe is dil ko
ki tujhse nahi behtar hai kala kisi pe
mai roz uthunga, na bacha kuch khone
toh jeetunga sab jo tha sapno ka mere
laawaris thi kishton me dekhi thi manzil
par mehnat paseene ka aks toh behetar
nahi hota yakeen mujhe kisi pe zyada
ab wafa ke badle bas gham bacha dene
mai wajah gin dunga 100
kyun woh taare dein chamak us chaand ke daag ko
tera muh chalta zyada iradon se
bhooke ko bheek nahi, uthne ki chaah do
haath failane se accha tum
khuda ko karmo ka apne hisaab do
mai khud bhi nahi saaf
par keechad zubaan pe toh tulna ka maqsad hi khaak ho
mujhe marne se zyada hai khauf nakaari ka
bojh nahi banna hai kisi pe
mai bhookha hi rehlunga dar pe khuda ke
par bheek nahi maangunga kisi se
thodi sifarish ya thoda paseena
yeh sauda hai izzat ki nok pe
maine daaga nishaana har kadam pe
khatra nahi, wapsi lautna bhaag ke
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu t+pazolite - do you wanna know?
- lirik lagu vesicula mob - cadeirada no meu presidente
- lirik lagu neshry trapan - nothing's never what it seems (acapella)
- lirik lagu umadethis & miyaan - во всём (in everything)
- lirik lagu 1k phew - phew day bash
- lirik lagu haroon - jeekay dekha
- lirik lagu yuridia - pena ajena
- lirik lagu gothkid - frfrfrfr
- lirik lagu baron biza - monumento gris
- lirik lagu evíc - intentar