lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu zayd music - ho na sake

Loading...

[intro]
hoke bhi tere tha hona gawara hi nai
g~ye tum ho aise to aana dobara bhi nai

[hook]
ho na sake, tere ho na sake
tere, ho na sake, mahiyan

[verse]
asar ka tha vo waqt
baadalon ka parda pehne dheere dheere dhal raha tha raushni ka shams
haan, lehron se nazar hata ke doobe jaye
shaam ke afsaanay uski aankh me samake dete feeke feeke rung
yahin pe cheente udd rahe the
pattharon se tashan kha ke zakham ki nazam sunaye ja rahe the sang
kya asliyat me hum the, kya asliyat me tum
raw~ngi ke qisson me the “cloud” vala hisaa bhi to “curse” bann ke aaye meri zindagi me kyun
haan, ho ke bhi to tere khudko kho rahe yun hum the
vo zehrile alfaaz~o~samandar se pyaas kya bhujhate
apni saans ko fasa ke yun hi darbadar kashmakash se namm the
haan, behiss the halaat usme kya khushi kya gham the
ke kausar se thi pyaas ko bujhayi usse zeher peena kamm hai
haan, jee rahe the be~basi me doob ke vo mehkashin ke ghoont pi ke, kaise bhi the zinda to phir khuda ka karam ye

[bridge]
haan hoke bhi tere tha hona gawara hi nai
g~ye tum ho aise to aana dubara bhi nai
[hook]
ho na sake , tere ho na sake
tere ho na sake, mahiyan

[verse]
vo aisi bewafein jisne aashiqon ki kabar pe the aansu bhi bahae na
ye iltejah hi kya, jo humrahi humdardi bhi dikhaye na
hum to bas ye sir hilate reh g~ye, vo kehti rahi tum ~ isharon me hi dhoondh lena mayena
badan pe bass ye ghau hi dike the, jab bhi hum khade the, saamne tha aaina
kuch dardon ki dawai na, kuch karze the chukaye na, kuch baatein mere dil pe lagi aisi
ke in takleefon ka takalluf bhi panno pe samaye na
vo kya hi maange maafi jisne uss khuda aur apne hi maa baap ke bhi saamne the sir kabhi jukhae na
samay samay ki baat, gehre se andhere me ek jal raha charagh
thand se kanp~kanpaati rooh per ik chaadar ka libaaz
gumdhuda sa raahi ponhcha phool ke bageechon me tha bas chidakne aag
isme dosh hai usi ka jo na dekh paata, tadapta takleef me insaan
kyu ke kaun hi pehchaanega insaan vale bhes me shaitaan yun jo aaye
pehen ke masoom sa naqab


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...