lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu zafar ali - aankh roti rahe

Loading...

kal mere mai-kade me ik ajb haadsa hua
kal mere mai-kade me ik ajb haadsa hua
kia???
ke zahid mere hisab me pi ker chala gya
zahid ko hua peda peene ka naya chaska
tou kooza jo wazoo ka tha paimana bana dala

dekh ker apki jawani ko
arzoo e sharab hoti hai
roz toba ko torta hoon main
aor roz niyat khrab hoti hai

manta hoon janab peeta hoon
aor theek hai be-hisab peeta hoon
aray log logon ka khoon peete hain
aor main to phir bhe sharab peeta hoon

tou aankh roti rahe dil tarapta rahe
aor yeh jahan muskraye to main kiya kroon
aankh roti rahe dil tarapta rahe
aor yeh jahan muskraye to main kiya kroon

jis ne bakhsha hai dard-e-mohabbat mujhe
ab wohi bhool jaye to main kiya kroon

aankh roti rahe dil tarapta rahe….

chashme saqi se peene ko main pee gya
paarsai ka meri bharam kia raha
hum ne dekha hai sham ka manzar
kiya?… ke asman bhe sharab peeta

kon kehta hai me nhi chakhi
aray kon jhoti qasam uthata hia
maikade se jo bach nikalta hai
wo… teri ankhon me doob jata hai

tou chashme saqi se peene ko main pee gya
paarsai ka meri bharam kia raha

baaz shohrat k liye peete hain
aor kuch zroorat k liye peete hain
jo haqiqat mei hain peene wale
wo mohabbat me aa ke peete hn

tou chashme saqi se peene ko main pee gya
paarsai ka meri bharam kia raha

ban raha hai jahan me tamasha mera
aor hosh mujh ko na aye to me kiya kroon

aankh roti rahe dil tarapta rahe
aor yeh jahan muskraye to main kiya kroon
aankh roti rahe dil tarapta rahe

sare jaghre agar mere peene k hain
tou gala ghont de me be bezar hooon

sare jaghre agar mere peene k hain…….

sare jaghre agar mere peene k hain…….

na haram me na kaleesa me na butkhane me
aray chain milta hai to saqi tere maikhane ma

dafan krna meri mayyat ko be maikhane me
kyon?. ta ke maikhane ki mitti rahe maikhane me

tou sare jaghre agar mere peene k hain…….

main koi rind ni. kis liye pita hoon sharab
teri tasveer nazar ati hai paimane me
jam tharane lage. urr gi bottle se sharab
kyon?… ke bewazo a g-ya koi maikhane me

tou sare jaghre agar mere peene k hain…….

yeh maikashi hai to phir sham e maikashi kia hai
aor behak na jaye jo pi ker wo rind hi kiya haii
shab ko main khob pi subh ko toba kr li
rind k rind rahe hath se jannat na gi

sare jaghre agar mere peene k hain
tou gala ghont de me be bezar hooon

mout ab tk to daman bachati rahi
aor tu bhe daman bachaye to main kiya kroon

aankh roti rahe dil tarapta rahe
aor yeh jahan muskraye to main kiya kroon
aankh roti rahe dil tarapta rahe

main na jata kbi maikade ko magar
ishq tera mjhe le gya kheench ker
saqi pila pila k pilane ki raat hia
or pi pi ke aj hosh me anay ki raat hai

la maikada undail de jam e sharab me
main ne suna hai piyas bujhane ki raat h

nasha iman hota ha surahi deen hoti hai
aor jawani ki ibadat be bari rangeen hoti hai
judai me preshani me tanhai me furqat me
aor tmhari yaad goya surat e yaseen hoti hai

tou main na jata kbi maikade ko magar

janab e shaikh be chupke se keh g-ye akhir
kiya? ke sharab raat ko aksar halal hoti hai

tou main na jata kbi maikade ko magar
ishq tera mujhe le gya khainch ker

tu apne aik jam pe nazan hai saqiya
aor chouda pilane wale hain parwa ha mujhko kia
batlaye deta hoon tujhe maikhano ka pata
bat-ha o kagh o khurasan samara
khusheed e mada mera burj e sharf me hai
ik karbala me ik mera saqi najaf me hai

tou main na jata kbi maikade ko magar
ishq tera mujhe le gya kheench ker

raaz ko raaz rakha hai me ne magar
ab raaz khulta hi jaye to main kiya kroon

aankh roti rahe dil tarapta rahe

main ne mangi thi yeh masjidon me dua
sab kuch khuda se mang liya ik tujhko mang ker
aor uthte nhi hath, meri is dua k bad
tou main ne mangi thi yeh masjidon me dua

dua bahaar ki mangi to itne phool khiley
keh kahin jaga na mili mere ashiyane ko

main ne mangi thi yeh masjidon me dua
main jise chahta hoon wo mujh ko mile
aor jo mera farz tha main ne poora kiya
ab khuda hi na chahe to main kiya kroon

aankh roti rahe dil tarapta rahe

husn aor ishq dono me tafreeq hai
in dono pe mera iman hai
adam ka jab ke putla anasir se mil bana
tou kuch aag bacha rahi thi jo ashiq ka dil bana
tameer khana e kaba ki jab khatm ho chuki
tou kuch sung bach rahe thay jo dilbar ka dil bana

husn aor ishq dono me tafreeq hai
in dono pe mera iman hai

gar khuda rooth jaye to sajde kroon
aor gar sanam rooth jaye tou main kia kroon

ankh roti rahe dil tarapta rahe

shams tabraiz sarmast main ban g-ya
aor tujh se nisbat rahi phir be parda nahi
khaal meri khichi aor sar be mera kata
ab tujh pe ilzam aye to main kiya kroon

ankh roti rahe dil tarapta rahe

mujh ko duniya se n-z-r shikayat nahi
aor koi mera banay meri qismat nahi
aor jin pe main ne luta di mata e khushi
wohi daman bachaye to main kiya kroon

jis ne bakhsha hai dard-e-mohabbat mujhe
ab wohi bhool jaye to main kiya kroon

aankh roti rahe dil tarapta rahe…….


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...