lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu umer anjum, savage & superdupersultan - her smile

Loading...

[chorus: savage & umer anjum]
chal padhe ham (chal padhe ham, chal padhe ham)
tere shehar se kaafi door
tere diye khat sath
teri yaadein mehfooz
ek tera intezar mai bas rahe taakun
chal padhe ham (chal padhe ham, chal padhe ham)
tere shehar se kaafi door
tere diye khat sath
teri yaadein mehfooz
ek tera intezar mai bas rahe taakun

[verse 1: savage]
teri yaadein raaton ko aake yun pehra de
tum samandar aur main bhatka hua sehra mein
tum samajh na saki tumse jo tha kehra main
zakham to aur bhi the lekin laga gehra ye
pehla ye, doosra wo, wo bas baat dhoondhti
mujhse bhagne ke liye wo ab kaam dhoondh rahi
dil ke chaaro khanon mein teri awaaz goonjti
hai zaroori kitni tujhe abhi maloom nahi
gir ke bhi sambhalte
sambhal ke kabhi girte
tumhe de jo maulat waqt
tum aana wapas milne
thoda fursat se
thoda sa waqt leke
reh g~ye khaali haath janam tumhein sab deke
sab dekhe idhar apne bas mafaad
uss ghar mein hai khushi jis ghar mein fasaad
taake rahe rahe tera intezar
baatein sacchi tum karo aitebaar
[chorus: savage & umer anjum]
kyun
chal padhe ham (chal padhe ham, chal padhe ham)
tere shehar se kaafi door
tere diye khat sath
teri yaadein mehfooz
ek tera intezar mai bas rahe taakun
chal padhe ham (chal padhe ham, chal padhe ham)
tere shehar se kaafi door
tere diye khat sath
teri yaadein mehfooz
ek tera intezar mai bas rahe taakun

[verse 2: umer anjum]
dillagi hai ye
na mit sakegi
abhi bhi hai
kya dikh rahi nahi?
ye na abhi ki hai
guzri ek sadi
na main aa saka
aur na tu ruki
main thak chuka
kehta kuch nahi
sab to lut g~ya
karta uff nahi
marta roz hoon main
jeeta khud nahi
main aakhri ek saans tujhe dekhe bina lu nahi
kya khush hai tu?
kya mil g~ya koi baat hogi usmein to
nahi sochegi jab sath hoga uska to
bebasi ka meri na sunai dega shor
iss zindagi ko aam sa guzarun
tere baad tere naam par guzarun
thoda hansu thode aansu gira dun
ho tera zikr thodi aankhen jhuka dn
wo khuda jaanta hai dard mera (dard mera)
khuda jaanta hai sach mera (sach mera)
ibadatein aur mehnat kya hai luck mera?
ghuroor aata hi nahi mujh mein yahi garv mera (yeah)
wo jo g~ye phir wo aa hi na paaye (aa hi na paaye)
mere ghar sirf saaqi hi aaye (saaqi)
hum bhi mashhoor ke hum peete pilaaye
apni jeet pe bulaaye tumhein reet ye riwayat (facts)
[chorus: savage & umer anjum]
chal padhe ham (chal padhe ham, chal padhe ham)
tere shehar se kaafi door
tere diye khat sath
teri yaadein mehfooz
ek tera intezar mai bas rahe taakun
chal padhe ham (chal padhe ham, chal padhe ham)
tere shehar se kaafi door
tere diye khat sath
teri yaadein mehfooz
ek tera intezar mai bas rahe taakun


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...