lirik lagu umair khan - zarurat
intro:
umair khan
mujh mein tu aur mein
tujh mein rahu sadaa zinda
par tujhay hi yeh kyun na dikhta
haal e dil jo hai likha
all i need is you right now
need you right now x2
tu mujhse duur na jaa
duur na jaa x2
verse 1: umair khan
betha hu tanha tere baaray mein sochraha
excess baggage, mein tere liye bojh tha
jokhay mera naam, mein sakoon khojraha
jaise dhoop se chao ka pata puch raha
so lost, kho chukka kab ka koi dhoonday tou maanein
mein aik paheli, koi boojhay tou jaanein
patthar dil rakhti tum na samjhogi yeh baatain ab bhi
zaroorat se zaroorat, mein teri zaroorat ab nai
tum andheri raah aur manzil meri dur abhi
poured a little more, nahi chahta tootay suroor abhi
tab bhi tumko chaaha dil se, na ki apni marzi
jaante hue ke yeh sub kuch tere liye hai farzi
duniya hai faani kuch bhi nahi bachega idhar
parhe na tujhpe qeher, bas yehi rehti fikar
girta parhta wahin, chhorh g-yi tu jidher
mere dar pe aa dekh kitnay hain dard
verse 2: jj47
andhera kamrey main kamra bund
dozakh main betha par lag rahi thand
main mazloom aur khudi main khud pe zalim
khud ko dun fatwey jesay main thehra aalim
chor desh dharam zaat waat firqa
beth baat kr laga apna jirga
bus mera bus raha hi na bus main
suljha isey dard bana sir ka
woh bhi halki dil ka yeh halka
sb bikhra jo mamla tha kal ka
kahen log lage rog usey dil kay
aur qissa wohi bura ban betha larka
ganey likho tujhe pe to lage mukalma
tujhe tab bhi tha dar abhi bhi hai to azma
befikari main rehti jese kuch hua nahi
tujhe pata nahi kya mkutti chez hai karma
tum urooj mera tum hi gharoob ho
j-sm jese sard aur tum meri sardio ki dhoop ho
tum khoob ho, jesey hoor ka koi roop ho
sahil bara door aur ja raha main doob ooo!
kese jhoot sarey
tum ne diya zehar
bharey ghont sarey
chal dhondh sarey
jitney bhi girey ankho se
woh boondh sarey
you gotta wait for it!
tere bas ki na
you’re wrong girl!
warna tarasti na
bridge: umair khan
tum kaise samjhoge
mujh ko mein nahi samjha
sab kuch tha haathon mein
bus tu na yehi gham tha
dukhta hai dikhta hai
dil sasta yahaan bikta
betha hu socho mein
rab qismat bhi kya likhta
[guitar solo: umair khan]
verse 3: talha anjum
tootay huye, kitnay majboor thay, hum saath he tou thay lekin hum kitnay door se
andhera dost aur hum dartay rahay noor se
dil e majboor mukhatib dil e magroor
tujhpe likhay kitnay gaanay tujhay pata he nai
mein daagdaar eitbaar ab koi bacha he nai hai
ye acha nahi ke hum dono miltay he nai
murjhaye phool behtar hai kabhi khiltay he nai
nai nai
tu wo nahi jo mein ne tujhay samjha tha
nai nai nai
ab mein wo nahi jo tere peechay marta tha
haan mujh mein ego bohot, bolo kis mein nai hai?
idher wo bhi chaurhay mein ghoomte jo kuch bhi nai hai
par kuch bhi karlu mein teri nazar mein kuch bhi nai hai
jitni expectations mujhse wo lag-ye bethi, utni expectations apne aap se mujhay nahi hain
i made that love song, aur us mein kaha tha ke
rahay meri jaga makhsoos tere dil mein
ab yaad karu tou this one bar f-cking k!lls me
nashay mein dhutt hoke dunya se laa ilmi
likhta deep, woh kehte ke yeh larka filmy
come see me when iam f-cked up that’s the real me
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu 227 - талант (talent)
- lirik lagu heegee graham’s - coming up
- lirik lagu אסף אמדורסקי - yesh lecha makom - יש לך מקום - assaf amdursky
- lirik lagu sadh ari - born foreign
- lirik lagu ben watt - balanced on a wire
- lirik lagu skin hood beats - rockstar
- lirik lagu st.moldavo, osprey - этo moя жизнь
- lirik lagu osboyz - j'suis die
- lirik lagu mac olivero - suor
- lirik lagu youv dee - olala*