lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu thekrypt - nadiyaan

Loading...

{hook]
chahoon jaana mai uss paar
(nadiyon ke paar tu)
manzil teri hai uss paar
(nadiyon ko paar, karu mai)

[verse 1]
baitha mai nadi ke kinaare
dhundh mei ye chhupti jaaye
jana mujhe paar hai, mujhe paar hai, hai

[verse 2]
kaise yeh nadiyaan hain behti
mujh mei hi ab yeh rehti
haar ke mai kya karu, mai kya karunga?

[pre~chorus]
chahoon jaana mai uss paar
fir suni maine ek pukaar
jo bole mujhe ab tu jaate jaa
mat dekh tu kya ho raha

manzil teri hai uss paar
sunn le ab apni aawaz
toot ke naa mile kuch tumhe aaj
doob mar ya to jaate jaa!
[chorus]
magar hai tu ye nadiyon, nadiyon ke paar tu
sang chal tu ye nadiyon, nadiyon ke saath tu
tadpaate tum kyu mujhe? waise hi tuta hua hoon
ab kya karu main aaj? nadiyon ko paar, karu mai aaj

[verse 3]
dekhta ye behti lehrein
jaata naa aage fir main
ab sochta aaj main, ab aaj main, yeh

[verse 4]
ki, jaise ye nadiyaan hain behti
waise naa mai behta tha kabhi
ab dekhu raah main, inn nadiyon mei, aaj

[pre~chorus]
jinhe baadha kehta main
wo baadha lagte naa abhi
aansu jo behte the mere
beh gaye inn nadiyon mei aaj

fir wo bikhri raatein jo lagti
thi ki kabhi jaayein naa
aaj fir wohi manzil meri
naa hai door, ab main hu paas
[chorus 2]
fir the tum ye nadiyon, nadiyon ke paar tum
sang aa gaye tum nadiyon, nadiyon ke saath tum
tadpaa dia bahot mujhe. ab naa main tuta hua hoon
ab kar lia maine aaj. nadiyon ko paar, kia hai aaj

[bridge/realisation]
ab pahunch hi gaya tha mai, nadiyon ke paar mai
ehsaas hua tha mujhe jaise sab ho gaya mera tha
ab kuch naa laage mujhe, sab soona soona hua jo
samajh naa aaye mujhe ab ye kya ho raha hai

dekhu mai inn nadiyon, nadiyon me khudko
meri parchaaiyan, behti hui inn ke saath
kabhi lagta tha ki paar, ho jaaengi ye nadiyaan
magar dekho mujhe aaj, beh hi gaya inn, nadiyon ke saath…


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...