lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu taybeatz (pak) - ikhtilaaf

Loading...

[verse 1: shaikh]
kari yeh ibtida ab jo
banega kal yeh, sabaq lo
aag~y ki sochun mein pehle jo
sochay tu kaise sabar ka hai phal woh?
kal ko karay woh raabta
poochein tareeqay, mein deta jawab naa
banay woh baray, naa karein muqabla
chalein naa zyada woh, kaisa mazaq tha?
han, tum samjhay kya mujhe? (samjhay kya?)
han, yeh kartay naa kuch hain (nahi)
dum ghuttay mera, saaray doghlay
karun mausiqi, lag~y mujhe soul mate
darrun kyun? apne yeh haq pe naa boltay
haftay ki shohrat may kalaa ko toltay
kabhi tou apni bhi kami tu khoj le
“laga reh tu” bola sabhi ko goat ne (sabhi ko)
faraq hai soch may
naa ghalat hai woh, meri alag hai mantaq (alag hai)
naa dasso mennu mere baaray
mein jaanun yahan laundon ke wakhray rung sub (wakhray)
kyun khojein tareeqay yeh kambakht? (kambakht)
kyun kalaa ko dete yeh kam waqt? (kam waqt)
mein thama jo kal, yeh badaltay
mein kal ke safar may tou kartay sangat
rung badlay ya karein humdardi yeh?
chalay saaray jaldi may
kar bethe ghalti hain
ghar pe sabar nahi hai
kartay safar nahi hain
sar pe zimmedari tou waqt be~asar nahi hai
yeh banay be~aqal bhi hain (han)
par gaano may baatein tou phenko naa chotay (nah)
yahan picture lagi hai, picture dekho
adakaaron ko chero naa chotay
[chorus: shaikh]
rakhun naa ikhtilafaat, tabhi mein mukhtalif hoon
raaton ko likhta rahun, woh gaanay banay meri ek aarzu
dilon may zinda rahun, meri intehaa falaq tou ginta naa hun
chalay zindagi, lag~y mehnat ka lahu
mein safar pe rawan, manzilein hain sukoon

[verse: mirza]
dard pe kalaa yeh palti rahi
gharz pe chala mein, farzi nahi
qarz hai kalaa tou qarz he sahi
utaarun mein roz, woh charhti g~yi
farz he nahi hai teri baat ka jawaab dena
mukhtalif, bhutt, aur hit laaya bars mein naa
khud ka likh dukh jo bikta hai, khuwab lena
inqilaab, intekhab hoon mein, aaj kehna
bus jo bus may naa ho tere muqabla
kehne ko baat naa, galay khichein aise woh haath la
phelega haadsa, par naa dikha madad ko haath tha
sabaq woh yaad tha
chala jo woh sub hadein paar tha
sarhadein naapta, sochun kaisa faraq hai khamkha?
qalam naa kaanpta, kya tu mera karega saamna?
laalay, faasla hai bohot tou tu chhor de naapna
iss awaaz may naa khauf par ab karta baat naa
aur baantna mushkil, cheenay bhi kya buzdil?
bhanpna mushkil, baaghi banday jab mil
raabtay tootay, khuwab ki raah may manzil
paas hain loug par har shakal naa sangdil
janay do! iss jag ko so janay do
raaton ko likhtay ke subah woh aanay do
chalta yeh karwaan, dete thay taanay jo
taaliyan maarein, ab kehte woh gaanay do
aakay tu pooch naa
kalaa yeh amar hai, meri daleel saboot naa
aakay tu pooch naa
kitna hai likha aur kitna mein likh g~ya? bhool han
chahtay woh sochna
ke mein likhaari azaab, azal se kya khojta?
chahtay woh sochna
khud se he ikhtilafaat tou do mujhe dosh naa, b~tch!
[chorus: shaikh & hashim nawaz]
rakhun naa ikhtilafaat, tabhi mein mukhtalif hoon
raaton ko likhta rahun, woh gaanay banay meri ek aarzu
dilon may zinda rahun, meri intehaa falaq tou ginta naa hun
chalay zindagi, lag~y mehnat ka lahu
mein safar pe rawan, manzilein hain sukoon
rakhun naa ikhtilafaat, tabhi mein mukhtalif hoon
raaton ko likhta rahun, woh gaanay banay meri ek aarzu
dilon may zinda rahun, meri intehaa falaq tou ginta naa hun
chalay zindagi, lag~y mehnat ka lahu
mein safar pe rawan, manzilein hain sukoon (huh!)

[verse 3: hashim nawaz]
mein rakhunga ikhtilafaat
par rahega dil apna saaf (saaf)
par rahunga apni auqaat may
aur karunga thori si baat
naa karta hoon mein mulaqatein
yeh shaamein katt jati jab kalaa ke naam
hum raaton ko jaagein, phir din ko bulaway aajatay
par khatam nahi hota koi kaam
drawing them guns out
paint karun jo picture, launday banenge victim
pata chalega mila kar, baatein lete yeh dil par
khaalay mera tu, chill kar, daalo mere he bill par
saalay, faasla hai bohot, umar kam
haath mere pakray lekin haath thay woh nam
saath mere chalnay walay khaas thay magar
mushkilaat ne dikhaya munday jaatay hain badal
lekin inko naa dunga ab dosh mein
ab ginay~chunay he dost hain (dost)
mein ginay~chuno ka dost hoon
kuch ka sahara aur zyada pe bojh mein (bojh)
hum banay mozoo, larkon ki movies
raising the standards, yaani ke fury
tankon ke golay hain inki majboori
ke hum jaison se launday rakhtay hain doori
picture dikhatay hum serial k!llers
jeelay jigar iss film may peechay jidhar milay jaga naa
scenery mukammal hogi tere bina, nikal naa
sudhar jaa thora sa, fiqar naa karnay ka faida hai zyada
naa poochay koi mera iraada
mein woh launda jo bus karta guzaara
mein woh launda jo hai tum ko dikha naa
mein tou bolun ke bus khair hai bhaiyya
apna tou chalta hai flat bhi pahiyya
yeh rap rupaiyya, naa rahega sada
kya barkat ki kabhi mein karunga parwah?
naa janay kab dekhun naa din apna agla
zillat ke bina bol izzat ka maza kya?
rakhi hai jaga, uss jaga may rakha kya?
mehnat ka phal hai mila par woh chakha naa
mein ne hai patta kya, bol?
[chorus: shaikh & hashim nawaz]
rakhun naa ikhtilafaat, tabhi mein mukhtalif hoon
raaton ko likhta rahun, woh gaanay banay meri ek aarzu
dilon may zinda rahun, meri intehaa falaq tou ginta naa hun
chalay zindagi, lag~y mehnat ka lahu
mein safar pe rawan, manzilein hain sukoon
rakhun naa ikhtilafaat, tabhi mein mukhtalif hoon
raaton ko likhta rahun, woh gaanay banay meri ek aarzu
dilon may zinda rahun, meri intehaa falaq tou ginta naa hun
chalay zindagi, lag~y mehnat ka lahu
mein safar pe rawan, manzilein hain sukoon (huh!)

Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...