lirik lagu talha anjum & umair - rainy days
[chorus]
aaj badal aisay barsay ke tu aa hi na saka
jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka
aaj tootne ke darr se phool khil nahi rahay
dair ho chuki hai shayad aaj mil nahi rahay
kal jo tu aaye
meri rab se yeh dua hai phir say
baadal aisay barsay ki tu jaa hi na sakay
kal jo tu aaye
meri rab se yeh dua hai phir say
baadal aisay barsay ki tu jaa hi na sakay
aaj baadal aisay barsay ke tu aa hi na saka
jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka
[verse]
dil hai bhaari, tabiyat tang rahay
zindagi, hum tujh pay dang rahay
uspay likhne ka toh maahir hun
mujhay ghalat fehmi bhi hai ke mein shayar hun
mujhay andheron se kaisi aashnayi thi
tune zindagi mein ek shama jalayi thi
woh shama jali toh usmein bhi ek tapish thi
phir mujhay apni sard raatein yaad aayīn thien
tera aana aisay hai ki jaisay shifa aaye
jaisay rahat aaye, jaisay aahat aaye
kuch yaad karke chehre pe muskurahat aaye
jaisay khamoshi mein tera intezaar mein karun
izhaar na kar sakun itna pyaar mein karun
hisaar karle mera
tujhme hi ghar hai mera
yahin guzar~basar hai mera
rooh yahin bhatakti hain
j~sm bhi dafan hai mera
[bridge]
teri qeemat ab ghatayi jaa rahi hai
mujhay furqat sikhayi jaa rahi hai
yeh hai tameer~e~duniya ka zamana
haweli dil ki dhayi jaa rahi hai
mujhay ummeed thi ke tum toh aaoge
mujhay ummeed khaye jaa rahi hai
mujhay kyun nahi aa rahi hai neend?
mujhay fikar jag~ye jaa rahi hai
[chorus]
aaj badal aisay barsay ke tu aa hi na saka
jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka
aaj tootne ke darr se phool khil nahi rahay
dair ho chuki hai shayad aaj mil nahi rahay
kal jo tu aaye
meri rab se yeh dua hai phir say
baadal aisay barsay ke tu jaa hi na sakay
kal jo tu aaye
meri rab se yeh dua hai phir say
baadal aisay barsay ke tu jaa hi na sakay
aaj baadal aisay barsay ke tu aa hi na saka
jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu nora kari - m.s.
- lirik lagu siimi - too hot
- lirik lagu yuke - cake
- lirik lagu timeless knights - i-03 blurry paradise
- lirik lagu jisaiah - top _10
- lirik lagu cheapjoya - double gansta
- lirik lagu hayes & y - blue
- lirik lagu club doom - keep it real
- lirik lagu vera pedro - movimiento
- lirik lagu detoxxx - call of the night