lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu sunny khan durrani - kitna badal gaya insaan

Loading...

[verse 1: eva b]
unity is strength tabhi to mili azadi
wrna har aik k gale pe hoti gulaami ki phansi
ithadi hi thi jo yahan tak leke aai
par waqt ne har aik ki asleehat dikhaai
bhai bhai ki larai jawan beta baap kamaey
gali koochay ki larai pe behn ne gali khai
t shirt pe loose jacket yahan tights me he legs
maa behn pe gali dena hai yahi he inka swag
charas pe bharam lekin bharam to ye arzi he
haqeeqat me to ye apni behn k hi karzi hain
koi inhe kuch na bole, jo ye chahe wohi krna he
par mehnat se nahi rondh k hi aage barhna he
rishwat to dete par na dengе jurmana ye
sukoon gah aj masjid nahi balkay mekhana he
dikhawе ki ibadat dikhawe ko hajj pe jana he
duniya me betha jannati hooron ka deewana he
doosron ki behne sl~t? par shareef apni behna
giraa ke dusron ki izzat, izzatdar ban k rehna
mazdooron ka haq kha rahe ye log
education k nam pe kama rahe log
shadi byah me bs paisa uraate
mal e rishwat se ghar ko saja rahe log
insano ki duniya me dikhti insaaniyat nai
jamhori ryasat me huk~mat koi nahi jamhoriyat ki
10 saal ka bacha betha dhoondta hai p~rn site
hashtag qaum tabah hai baat nahi ye tarbiyat ki
duniya competition or zindagi imtehaan he
jo gheebat krta milta usko hi ko inaam he
log double policy or jaali zamaane k log
zamane he jaali ye zamane pe ilzam he

[verse 2: sunny khan durrani]
12 saal ka mai mujhe fikar aasmano ki
makhlook ko me dekhun suno dhun me zubaano ki
parindo se thi guftgu aur urne ki khuwahish thi
phir dunya ne roka “le raah dunyaadaari ki”
sikhaadi saari batain jin se mera koi kaam nai
jo cheezain ehsaas thi ab sune uske naam kaheen
munaafa, nuksaan, takkabur aur nafrat
anaa khudaaari bhai kesi ye circus?
jo karo tum sawaal to sawaal bhi khataa hai
khud karain faraib bolain “uski razaah hai”
yahan jang chalay zann pe, jang chalay zarr pe
aag lagaate phirain apne hi ghar pe
tinkon ke ghar maarte phoonkain ye naar ko
internet pe bethay dete gaali sarhad paar
6 foot ka samaan nai aur batain jareeb ki
jo ghalti insaan ki banadain wo naseeb ki
aaj kal me kaat ke rakh dia waqt ko
kaata likha usi pe bachao is drakht ko
wah dunya wahh tere tor bhi ajeeb hain
kaaghaz nahi jaib me jinki wo sab ghareeb hain
zameen ki hifazat karain lakeerain ye kheench ke
zamee se bharke paani phir zamee ko hi bech dain
kon kare fikar sochay dooor khalaa ki
jo log itne bhookay lete qeemat hawaa ki
banaa ke haspataal lagaen qeemat ye jaan ki
pohunch nahi torke warna beech dain ye chaand bhi ye
qudrat ke baare me itne behiss hain ke
la ilmii me darain teesray jinss se
j~smon me doobay ye rooh me na terayy
rishtay dunyaawi do pal bhi na thehrayy


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...