lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu spellmanmuzik - anjaam bura

Loading...

[verse 1]
ek akhbaar mein jeeta tha competition, naam chamka tha
number likha tha, woh pehli baar ishq ka raasta tha
ek missed call, usne diya tha bina soche
man mein halki si khushi thi, socha call back deke dekhe

phir shuru hui baatein, sms se prem ki neev rakh di
dil ke jazbaat jo the, woh lafzon mein baandh di
kabhi mile bina, humne pyaar ki dastaan likhi
aur phir thaan li shaadi ki, jab har khwab humne dekha tha ik saath

[chorus]
khushi se hum paanch saal tak jeete shanti se
kuch chhoti~moti baatein par humne sambhala pyaar se
par woh din bhi aaya jab pyaar mein aani daraar thi
ek kisse ki wajah se hamari kahani hi badal g~yi

[verse 2]
ek din kaha, “chalo saath mein”, par mein kaam mein phansa tha
uske man mein gussa, aur rishta humara hi jala tha
bhola tha mein, par usne rishtedaro ko bulaya
ladai ghar mein, rishtedar nashe mein tha aur khoon ka pyaasa bana

log jama hue, puri colony ne shor suna
agle din sms aaya, “bhari rakam do warna hoga anjaam bura”
maine mana kiya, aur agle din, mahila, aayog pohoncha
case ki dhamki mili, bas paisa tha jo unhe chahiye tha
[chorus]
na insaaf ki koi umeed thi, bas kanuni jaal mein phasa
jeevan ki khushi chhod di, paise ki zaroorat par chhura ghusa
dhokhebaaz vakeel ne nakli wada aur bharosa dia
case ke chakkar mein zindagi meri bikharti rahi

[verse 3]
us vakeel ko to sirf paise ka lobh tha, case aage nahi badha
har kadam pe paisa liya, aur mera sapna choora
parivaar pe bedakhal ka dabaav banwaya
dushman mere khud ban rahe the jise apna samjha tha

jhoot aur nafrat, ne mujhe majboor kiya
apne hi ghar mein mein ek paraaya ban g~ya
court ke chakkar mein bank balance zero tha
aur arrest warrant whatsapp pe aa chuka tha

[chorus]
dil se ek darr basa, ab aurat se bhi dar lagta hai
insaaf ka kanoon bhi kaagzi sa lagta hai
maine sab kuch gawaaya par dil hi hai jo bas ab tak tutta nahi
zindagi ne kai thokar di, par khud se kabhi toota nahi

[verse 4]
honth mein namak, dil mein dard hai
parivar ke liye aaj bhi ladh raha mard hai
wife ne jo kiya, woh na socha tha kabhi
dushman jaisi chhavi, ghar mein thi tabahi
court ke dar pe, lawyer ne loot liya
apna hi khel bana, paise pe toot liya
pehle mera tha, par usne palti khaayi
dushman ke saath mil, meri raah ghatayi

chorus
kanoon ke khel mein phas g~ya yeh insaan
lad raha akela, parivar ki jaan
kaise batau, yeh saazish ka rang
woh deke dhokha, hum bhi hue tang

[verse 5]
message bheje sabko, ki main hoon gunahgaar
mere clients bhi bole, “kya yeh sach hai bolo yaar?”
facebook pe laga di, badnaam ki chaal
meri izzat ko diya woh usne naya haal

domestic violence ka jhootha drama rachaya
police station mein bhi scene ko sajaya
dekha videos mein, aadmi pe zulm hai
maine lawyer ko paisa diya, bas yahi dharm hai

chorus
kanoon ke khel mein phas g~ya yeh insaan
lad raha akela, parivar ki jaan
kaise bataye, yeh saazish ka rang
woh deke dhokha, hum bhi hue tang
bridge
mahila ayog bhi, ek taraf hai bas
jhoothe case mein, parivar bhi pade khas
maa baap bhi, saath mein ho rahe humare sazaa
aisa kanoon bana, jaise mera na koi aasra

[verse 6]
depression mein ghira, par laut raha hoon
aansuon mein bhi himmat ko dhoond raha hoon
reverse case kiya, sirf maa baap ke liye
lia kanoon ka sahara sirf, insaaf ke lie

ab bas ek hi raasta, judaai ka hai pal
separation aur nafrat, bas yahi mera kal
dil mein hai zakhm, par jung hai jeetni
yeh kanoon ka khel, akhir hai kitni?

chorus
kanoon ke khel mein phas g~ya yeh insaan
lad raha akela, parivar ki jaan
kaise bataye, yeh saazish ka rang
woh deke dhokha, hum bhi hue tang

[outro]
bas yeh seekha, saachai hai khadi
par kanoon ke aage bhi hai zindagi badi
aaj bhi dil mein hai parivar ka pyar
court kachahri ke khel ne kiya behaal

yeh kahani sirf meri hi nahi, hazaron ka hai ye raasta
jinhe pyaar mein mila dhoka aur kanoon ka bhi raapata
maine shikayat nahi ki, bas dil pe laga ek sabak hai
aaj bhi jee raha hoon, aur apne past ko kabula hai


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...