lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu sourav - thoughts of 3.30 am

Loading...

sabka nakara main hu
tumse kya bolu, khud hara main hu
tha logo ke war to sehta
par khud ke hi war ka mara main hu

khudse ye man motao
ha khudi se khudko chidhata main hu
tum mere saath to ho
par khudi ke saath ka mara main hu

ye kaisi duniyawi baatein
jinko ab samajh na pata main hu…
afsanay kitne, kuchko sunata
aur kitne chupata main hu

kala ka daam nahi
par kalam ki roti hi khata main hu
baithe kharidne saare to
kala ka bhao lagata bhi hu

kala ka bhao, sarpe na kala to, sarpe na chao
maa ki main sunu to paise kamao
mann ki jo sunu to kala bachao
ye kala bachao

kala hai keemti, kala hai sab
kalam hai dharam, aur kala hi rab
kala hai meri wajood ka sach
jo kala na rahe to mara main kab
mara main kab, jisam se dard kured ke panno pe fekta
gaane nai likhe, bhare hai panne jo rooh mein jhak ke dekhta

dekhta kabhi jo aaina, dikhe mujhe gumnam koi
dekhu guroor se samne, kiya nahi aisa kaam koi

raat ke saarе teen
meri aankhon mein neend ka naam nahi
sochu ye kaisa samaj hai, jahapе kala ka daam nahi

daam hai nachne walo ke
reels pe bache bas kaam wahi

jisam dikhate aur lut te views
tawayaf bas naam nahi

soch tawayaf si
do gaali mujhe padta farak nahi
main wo samaj ka aaina, jise bulate tum narak vai

wahi samaj ka main, wahi samaj ke tum
(dono hai ek)

kisi ka aaj hu main, kisi ke yaad mein tum
(samay ka khel)
dono hi saath mein the, dour mein kahi hai gum
(dono hi gum)

thode se baad mein hum
thore se samne tum
(thore se)

ye kaisi khud hi se jung
jeeta to haara kya aaj main

pehle tha kalakaar
ab bana vyapari kya aaj main

kala hai keemti, kala hai sab
kalam hai dharam, aur kala hi rab
kala hai meri wajood ka sach
jo kala na rahe to mara main kab


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...