lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu sourav - dikhta hai sab

Loading...

[intro]

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

dikhta hai sab… kaise baithi hai maa beti ke aas mein
soya ni koi, sab khoj mein gum uske talash mein
mai ki khwahish, aur baap ki saasein dono paas mein
toote mile hai, jab phool chare beti ke laash mein

[hook]

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

dikhta hai sab, mujhe dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

[verse 1]

dikhta hai sab… kaise rajneet mein na rasneet hai
vukhe hai sab… bhari khud ki jeb to raaj theek hai
raja ye tab… jab aam admi vote veekh de
humse cheente, budhiheen ye, lagta mujhko ab hum bhi cheekh de

raja ke raaj mein, koi khush nai kare bardash ye
bahumat se ye jeete hai vote, man kab jeetenge kare sab aas ye
budhi na paas mein, nahi vidya ki degree haath mein
jo kehte wo na karte, reh na pate apne hi baat mein

bikti hai raaste mein, jab raat gehri aur wo khari hai
legaya khelne ko wo ye bhool baap ki wo pari hai
ye hai usool samaj ka, bahu tawayaf ko na banaye
phir kyu daya se samaj ki, wo tawayaf hi maa bani hai

iska jawab nai, ho ladki to dekhna khwab nai
hai 4 deewar mein zindagi, tum do janam bano baap nai
milti hai aaj bhi, mare ghut ghut kae jo raat din
tumhe dikhti nahi hai jo saf lakeere to kholi hai tumne aankh nai

[hook]

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab
dikhta hai sab, mujhe dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

[verse 2]

baap lachar sa, lage zindagi se wo harta
use pure karne arman sabke, tabhi sapne apne wo marta
sabko wo palta, par khud ki zaroorat hi talta
lage bharne jholi mere khwab ka usme khoon pasina wo dalta

sochna baat wo, tere haath mein apna haath wo
bachpan mein na deta baap jo, to na hote tere haath do
aise baap ko, bare umra to unka saath do
agar milta nahi tera haath to, tum bete nahi avishap ho

ungli ki muthi bana, jo katega ek to duja khara
ye hai samaj ki niti ye lutenge mouj jo duja lara
apne hi war karenge, to apne hi honge jo par karenge
tu ladne ki khwahish jaga, phir ye khwahish hi ladne ki dhal banenge

ladke ki dekhle, tu khud ko is aag mein sekle
ab tak cherta use, ja do pal pyaar se dekhle
khud mein hi jhakle, mile ravan to santap le
galtiyan mujhme hai tujhme bhi, dekha maine tu bhi jhakle

[hook]

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

dikhta hai sab, mujhe dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

dikhta hai sab, dikhta hai sab
mujhe dikhta hai sab

[outro]
dekh ke laasho ko, jo karta band apne in aankho ko
dekhe phir khwab tu kaise jab dekha in aankho se rakho ko
tod salakho ko, tu pankh de apne har khwabo ko
aankhon se laash nai dekh, kar kosish bachane ki saanso ko

patti ye fekna hoga, hai desh bachana to dekhna hoga
tere akele ki jung, agaz mein saath mein ek na hoga
tane bhi sunne parenge, mukhaota samaj ka fekna hoga
badalna samaj to pehle samaj ko aankh se dekhna hoga

dekhna hoga, pehle samaj ko dekhna hoga
badalna samaj to pehle samaj ko aankh se dekhna hoga


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...