lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu shyko - ghalib ki mazar

Loading...

dariya kinaare, pahaad par
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par
zameen par yaa ke aasmaan par
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par

baitha hoon main maut ki kagaar par
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par
thak gaya hoon tujhko main talaash kar
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par

tu hi rab, tu hi to khuda rahi hai
tu nahi to lagta hai khuda nahi hai
makaan toota yun, dekhte hain roz hum
roz lagta hai, dil ki yaad aa rahi hai

tanhaaiyaan hain bhookhi, roz humko kha rahi hain
qubool na hui shayad tu dua rahi hai
tu hai zindagi, aur zindagi juaa rahi hai
tu bhi jaise umr laut ke naa rahi hai

khaali tere liye dil mein sab jagah rahi hai
dile~beemaar ki tu hi tu dawa rahi hai
ae maut, tu bhi dekh zindagi nibha rahi hai
tere pate kuch chhod, humko kuch pata nahi hai

na ghalib, na gulzar mein baitha
main “gule bahaar” mein
tarazoo mein wafaayein hain
ishq aa gaya bazaar mein
dariya kinaare, pahaad par
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par
zameen par yaa ke aasmaan par
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par

baitha hoon main maut ki kagaar par
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par
thak gaya hoon tujhko main talaash kar
milne aana mujhse ghalib ki mazaar par

ek din tera haath lengе
aur us par apne naam ki lakeer banayenge
is duniya ko batanе ke liye
ke jo cheez haath mein hoti hai
woh zaroori nahi kismat mein bhi ho


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...