lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu savage (pak), jani & ​​superdupersultan - cold out here

Loading...

[verse 1: jani]
ek seher jo aftab lag raha tha
woh sehra may aabshaar lag raha tha
woh bachpana tha, pyaar lag raha tha
beshumar lag raha tha, samajhdaar lag raha tha
dil ke bazaar may tou sabhi thay jama
mein uss bazaar may sunaar lag raha tha
meri nazar may tha ke sabhi khushgawar
ek maali thora sa bezaar lag raha tha
ek phool khilta hai jis par barsaat aati hai
par usko perh ki sub daaliyan salaamat chahti hain
woh kali ban kar chup raha tha kisi shaakh may kahin
dhoop nikalnay par usko thori raahat aati hai
ab woh batata hai ke “mujh ko jiska darr tha woh hua”
torra shaakh se, saath lifafay ke likh diya pata
ab woh haryalion se khatdaan may para hai
ab woh gaata hai wahan be~intehaa

[chorus: jani]
tera mil jaana ab laazmi tou nahi (tou nahi)
agar mil jaaye tou kya he baat hai
mein dhoondun tujhe
chamaktay taaron may, behte aabsharon may hai
dil ke hungamon may, dilkash nazaaron may

[verse 2: savage]
dil~lagi hai dilruba se
kya woh khush hai dil dukha ke?
tera zikr jab bhi hota, hum bus aankhon ko jhukatay
rehna chahta tere saath agar kam parein yeh saansein
milna chahta hoon mein tum se waapis school phir se jaa ke
teri yaad may katti umar, par raat naa katay
teri aankh may jo khuwab hai, woh khuwab naa rahay
ab milna mujh se aise naa koi faasla rahay
khuli kitaab hain hum, jaanam, kyun tum aazma rahay?
ab tou tham gaya hai, shaamein nahi dhal rahin
baray imtehaan leti hai yeh zindagi
tere naam kar dein, jaanam, apni har khushi
uss pal kaise chain, jis pal jaana tum ho nahi?
tum dhoondo tou sahi, mein hoon wahin
ek dhun, ek saaz jaisa chhoo gayi
sub kuch mera chin gaya, jis din jaana tu gayi
awaaz do, mein hoon yahin
awaaz do, mein hoon yahin
[chorus: jani]
tera mil jaana ab laazmi tou nahi (tou nahi)
agar mil jaaye tou kya he baat hai
mein dhoondun tujhe
chamaktay taaron may, behte aabsharon may hai
dil ke hungamon may, dilkash nazaaron may


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...