lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu sarpdansh, big scratch & ishaan - mai wahin khada

Loading...

[chorus: big scratch]
mein wahin khada, kahan gya hai tu? (gya hai tu)
beqarari mein bayaan kahan karun? (kahan karun)
han woh aayegi, mein jaanta usse
intezaar may kahaniyan bunun

[verse 1: big scratch]
tu chali g~yi mein rehgya wahin khada
tere chehre ke alawa mujhko kuch nahi pata
ay khuda! tu zaalim ya tu jaanta nahi
ke uske dil may barpa shan
tu ne kisko di saza
meri nigahein thak chuki hain uski raah dekhti
yeh tan bhi torr de tou hum ko kuch nahi gila
woh aankhein befazool jo unhi se na milein
iss dil ko bhi dharakne ke liye nahi waja
baarishon may bheega mein yeh dard humsafar
afsos ke yeh tumse zyada kargye wafa
yaad tumko aaye fir kabhi meri agar
milunga tumse uss gali ke saamnay khada

[chorus: big scratch]
mein wahin khada, kahan gya hai tu? (gya hai tu)
beqarari mein bayaan kahan karun? (kahan karun)
han woh aayegi, mein jaanta usse (usse)
intezaar may kahaniyan bunun (‘niyan bunun)
[verse 2: 2facebleed]
meri aankhon may nasha
mere khoon may hai dard
rukh morr lena tum
poora karo yeh safar
shuru tumse hui
rakhun jitni sabr
mein hun wahin pe khada
ab khud ki fikar
mein hun wahin pe khada
dil khaali mera ghar
mein hun wahin pe khada
tum aaye na magar
mein hun wahin pe khada
tumne pheri yeh nazar
mein hun wahin pe khada
aage bharna safar
ab raatein dikhti, bante mujhko chehre
khaak andar lagte bus sunehre
mol kyun the hogye tum mere
sun raha mein jo bhi tum the kehre
kya qasar dil ne rakh di mere
mein haal chorun, baha deti lehrein
doob jaun zakhmon may mein gehre
do pehr dhoop ban ke thehre
mein ne samjha tujhe dawa
par tu zakham degya
kaanton se jo chubhta dil mein
woh marham degya
kabhi kabhi jo mann tera lag~y bechain sa
tou soch lena aankhein khol kar mein soraha
jab barishon ki boondein jo bhigati thi tumhein
tou soch lena mein ki woh kahin jo ro raha
tootay rishton may qasoor galtiyon ka hota na
umer bhar ka yeh vehm tu mujhko kyun he degya
duur janay par teri meri saansein hain tham rahin
tujhe tha yeh pata jeene ki qasam tu degya
akhir tak karunga mein tera he aake shukriya
kuch diya, na diya, thori sharam tu degya
[outro: sarpdansh]
ghum ke tum bhi keh chuke diwaaron se
ab miltay tumse kam kya woh teyohar the
ab aaino may jhankun tujhko
dikhta tera chehra he na uss may
tera bik chuka bazaar may
woh aaine may jhankta tou mein bhi na
na aankhon may dikhein mujhe woh yaadein teri
hai khaalipan may nochi khud ki aankhein he
par aansu behte sochun mein jo baatein teri
kya dikhti tujhko meri he nakami hai?
ya ghum ko dho ke ban chuka sharabi mein
aur dard bechta hun mein hazaron may
tou gaano ki yahan hoti bus nilami hai
oh! bus nilami hai
sarp


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...