lirik lagu sameer asim - tu meri ha
[intro]
helmi mar!
[verse 1]
badha hi darr lage ki likhte likhte gaane
na anjaane me mai dil dukha dun tera
tere hote hoye bhi teri kami si hai
jalaa ke sau chiraag bhi maano ki dil mein hai andhera
tujhe pasand hain ye gaane par tu samajhti nahi hai
ki ye gaane maine likhe tere liye
tere saamne bhi ho jayenge chup ek din hum
ki ham aadi hain pehle bhi kayi baar lab siye
wahi anjaam hoga
aankhen laal bikhre baal teri yaad
aur is haath mein ek jaam hoga
aur ek qalam hoga
aur uss qalam se likhna nasha maut khudkushi aam hoga
mainе kaati thi wo raaten bas guzaari nahin thi
wo hi to meri dunya saari nai thi
subha utha to mai khush ki mai nashe mе tha bhutt
shukar khud ko goli maine raat maari nai thi
ab mein kya karu behas? ab mein kya karu gile?
tujhe samajhna agar chahu tu mujhse karti baat nai
mujhe tere siwaa nai chahiye tha kuch
teri mere siwaa bhi waise kayi khushishaat thi
par ab mai ye nai kehta ki ghalat hai ye
tu baat samajh tere mere mein farq hai ye
ki mujhe muhabbat ke aatay nai saleeqe
tu meri hai to kisi aur ki na ho
[chorus]
tu meri hai us apni har khata ke baad
tu meri hai magar badhi wafa ke baad
tu beshak agar chahe mujhe chor de
kyunki tu meri hai magar apni raza ke baad
tu meri hai meri har us dua ke baad
tu meri hai aakhri alvida ke baad
tu meri hai par tujhe cheen na le wo mujhse
to tu meri to hai magar khudaa ke baad
[verse 2]
bata ke baat maine dil ki kahi ghalat kiya?
kahi faraq sahi ghalat me na samajh paya
kahi apne dil pe patthar rakh kar tere dil ko rakha
teri baaten suni haal dil ka naa bataya
magar theek hai na jaan kabhi dhoop kabhi chaon
kabhi door ho ke paas tujhe paas se na paun (helmi mar!)
kabhi aisi ho afsurdagi ki zindagi qabar lage
khushi kabhi aisi lage zameen pe na paun
mai kya hi gau gaane? (kya hi gau gaane?)
ki tu sunti hai mujhe ab magar samajhti nahi
ek qaraar sa milne laga hai in andheron me
i’m d~mn sure ki tu bhi hai yahi kahi
chahe na bhi ho to tab bhi mere dil me hai na tu
tere muntazir hain par kabhi na milne aaya tu
ye sabar ki ghadhi hai jo guzarti nahi
meri muhabbat tu dekh meri ghalti nahi
kya badal g~ya hai kuch hamare beech?
ya wo tha hi nahi jo humne gumaan kiya tha?
jisse zyada ho g~ya dushwaar meri jaan
jitna jeena tune mere liye asaan kiya tha
tu hi to thi wo jisko sab se zyada thi fikar meri
to ab mein hamdardi ki bhala kisse rakhunga umeed?
ye jang teri meri kabhi thi hi nahi
ki ham judaa jo ho g~ye to isme kisi ki nahi jeet
yaqeen tha ki badal dunga mai tujhe
par koshishen nakaam si hain saari meri
kitne logon par mai hasta tha ki mard ho ke rote hain
ye makafat~e~amal dekh aa g~yi na baari meri?
tere bina pehli kaisi guzregi ye raat?
kaise likhunga bhala in saffon pe apne mai jazbaat?
isse pehle tu karle faisla mujhe ch~rne ka
jaana tu bas jaan le ye baat ki
[chorus]
tu meri hai us apni har khata ke baad
tu meri hai magar badhi wafa ke baad
tu beshak agar chahe mujhe chor de
kyunki tu meri hai magar apni raza ke baad
tu meri hai meri har us dua ke baad
tu meri hai aakhri alvida ke baad
tu meri hai par tujhe cheen na le wo mujhse
to tu meri to hai magar khudaa ke baad
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu the keeng - in my life
- lirik lagu скриптонит (skryptonite) - po pope
- lirik lagu šeki turković - ostani, pesmo
- lirik lagu smokkimane - borealis
- lirik lagu młodzik (pol) - tanie wino
- lirik lagu idris jack - magnetic love
- lirik lagu caroline says - faded and golden
- lirik lagu kalte liebe - tränen stillen keinen durst
- lirik lagu sos & ahmer - kill’em
- lirik lagu micah edwards - she will