lirik lagu sameer asim - prelude
[intro]
raspobeats!
[verse 1]
vaqiye youn dekhe aya naa ankhon pe bhi yaqeen
aaasman se ghire pairon se nikal g~yi zameen
kabhi mujhe mere is khayaal se khauf aaye
ki ye zindagi bhala kis hisaab se tohfa ha? (kis hisaab se?)
dil bhaari hai jin baaton se ab likhne beth g~ya houn
to kyun na bas ab likh du is hi gaane mein?
dastarkhan pe hain bethe chotay bhai
puchen “abu ko kyun dair ho g~yi ha bhai aaj aane mein?”
mein bhi sawaal ko unke nazarandaaz karoun
aankhen nam hone lagein hain baaten ab ghumaane mein
phir ek soch ye jaan’ne ka haq unhe bhi ha
waise bhi kya faida ye baat ab chupaane mein?
nadaan thay wo khair, jaise~kaise so g~ye
mein saari raat betha raha paas hi siraane se
phir wahin sawaal, phir mein lajavaab
socha aaj bas bata doun baap lotay ga nai thaane se
kahan se laoun himmat ki bata doun aisa sach
jisko mera dil bhi maane pe raazi nahin (nahi, nahi)
samajh ki behtrii sabar kiya shukar parha
hairat ha k dil mein thi udaasi nahi (nahi, nahi)
apne bhi ghair ho g~ye waqt aisa sagga bana
wafa meri maangta ha dil mein mere jagah bana
maazi ki shaoun mein sukoon ka koi dam nahin
waqt pr sulaane waala jaagne ki wajah bana (jaagne ki wajah bana)
[verse 2]
raspobeats!
waqt ke saath ye zakham gehre ho g~ye
tere na aane ki khamoshi mein hum behre ho g~ye
veraniyon k baagh mein kuch badal baras g~ye
ye kaan awaaz teri sun’ne ko taras g~ye
magar hum zimedaariyon se nahin bhaage
waqt ruk sa g~ya phir bhi hum bharhe aag~y
mehnat kar kar k mit g~yi hatheli se lakeeren
par taqdeeron mein aseer thay, naseebon par zanjeeren
zawaal bhi is zindagi mein dheet milla
badalot jiske mujhe khud mein ik adeeb milla
teri muhabbat ke ujaalon se mazeed dil veraan hua
teri yaadon se mein gallay lag ke eid milla
tujhe mujhse ye doori kese naa paas karti
samajh aati hain ab baaten kabhi thi udaas karti
mein nahin chahta k tum dunya mein khuaar raho
mujhe khone k liye har waqt tayiyaar raho
hum nai samajhe magar he knew the deal
n0body stays forever everybody has got to leave
humen dorne pe kar diya halaat se majboor
hum ghulaab ke thay aadi ab dekh pairon mein hain keel
kafan ban kr j~sm meri zindagi ko qabar kare
waqt hi nahin guzarta wo bhala kese sabar kare
dounga mitaa khud ko is justjuu mein (raspobeats!)
ke baap mere baare sun’ne muskuraa k fakhar kare
mere liye sabse baari kaamiyabi ye
qala mere kaash kabhi kaam aaati ye
mujhse zayada tha yaqeen mere baap ko is qala pe
wo sunkar mere gaane mere hosle ko barha de
“ye sirf shoq nai hain beta tere khuaab hain
inke peeche bhaago choro jo bhi hota ha
tum to karlo poore apne
mujhse meri zindagi mein ye khuaab poore na ho paaye” (nahi, nahi)
baap ko bola “itna jaldi banta nai rapper koi”
wo bola “meri nazar mein tujhse nahin ha behtar koi”
mein bola “ye sab karne ka koi faida nahi”
wo bola “jayegi teri mehnat raiga nahi”
mein to chahta houn tu zindagi mein na ruke
tu mere hote hoye banjaa kuch dil tera na dukhe kabhi
magar ye zindagi ajeeb ha barrii (ajeeb)
sadiyon ka gham or par ek pak ki khushi
magar ye zindagi ajeeb ha barri
humne chaha jese zindagi kab ha waise challi?
to bas sahi ha jo bhi khudaa ne mere liye likhii
baap ko ye gaana bhi ye sunaounga kabhi
ki jab tu na tha paas mere
maine likhe gaane tujhpe istemaal krke saare wo alfaaz tere
ki jab tu na tha paas mere
tab bhi tassali si thi mujhe ki ab bhi tu ha saath mere
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu kenzy (che) - jamal
- lirik lagu aklipe44 - coisas que eu sei
- lirik lagu kn93 - the pinnacle
- lirik lagu slyser, cedmusic & rewindbeats - herz auf der straße
- lirik lagu yakside - home outro
- lirik lagu sseasonal! - drill v2!
- lirik lagu maxon - eeniemineymo
- lirik lagu makel tillman - diamonds
- lirik lagu majhool - 28 freestyle
- lirik lagu mariomaster 41#2 - meteor