lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu salaar iseave - aakhir baar tujhse

Loading...

har baar tum se milke bichhadta raha hoon main
tum kaun ho yeh khud bhi nahi janti ho tum
main kaun hoon yeh khud bhi nahi janta hoon main
tum mujh ko jaan kar hi padi ho azaab mein
aur is tarah khud apni sazz ban gaya hoon main
tum jis zameen par ho main uss ka khuda nahi
bas sar bezar aziyyat o azar hi raho

tere siwa na chaha kisi ko
yeh baat bhi tu jaanti thi
par kya mila mujhe itni wafa ka
bewafa mujhko woh maanti thi

hathon se tere zehar pi ke
humne bhi uff tak na kiya
zakham jo tumne humko diye the
abhi tak unko bhi na siya

main chalaa jaunga sanam
tum dhoondte reh jaoge sanam
main mud ke na aaunga kabhi
tum dhoondte reh jaoge sanam

bezar ho gayi ho bahut zindagi se tum
bezar ho gayi ho bezar hi raho
tum ko yahan ke saaya o parton se kya gharaz
tum apne haq mein bich ki diwaar hi raho
main ibtida e ishq se bemehr hi raha
tum intiha e ishq ka meyaar hi raho

saath nibhaane ki woh baatеin
tumko bhi jaanam yaad nahi
raaton ko jaag ke karte woh baatein
tumko bhi jaanam yaad nahi

aisa bhi humnе kya kiya tha
jo tum aisa kar gayi
galti bhi arsh ki na thi jaana
phir bhi kyun tum aisa kar gayi

main chalaa jaunga sanam
tum dhoondte reh jaoge sanam
main mud ke na aaunga kabhi
tum dhoondte reh jaoge sanam

jab main tumhein nashat e mohabbat na de saka
gham mein kabhi sukoon e rifaqat na de saka
jab mere sab charagh e tamanna hawa ke hain
jab mere saare khwab kisi bewafa ke hain
phir mujh ko chahne ka tumhein koi haq nahi
tanha karahne ka tumhein koi haq nahi


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...