lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu salaar iseave - aakhir alvida

Loading...

pehle jaan the
phir anjaan the
pass se guzar gaye woh iss tarah
jo pehle kabhi
humara jahan the

dekh lo tum aake
arsh ka haal kya hai
pal do pal ka mehmaan hai
ab jee ke karna kya hai

meri jab saans ruke
tere haathon mein jaana
yehi arzoo hai meri
maano tum isko jaana

pehna laal joda tumne
uske naam ka
humne bhi pehan liya hai
kafan apne naam ka


uthe teri dolly wahan
utha janaza yahan
lagi tere haathon pe mehndi wahan
lagaya gaya humein itr yahan

hata ke hijab tera
chehra dekha hai wahan
hata ke kafan mera
chehra dekha hai yahan

saja tera kamra hoga
saji meri qabar hogi
dastaan shuru teri hai jaana
meri toh khaak hogi

hawaon mein ab bhi hai
khushboo tere naam ki jaana
khatam main gaya hoon
mohabbat abhi zinda hai jaana

lafzon ka yeh jhol nahi hai
zindagi ismein hai jaana
hogi mehb00ba kisi ki
mar gaya aashiq hai jaana

pehle jaan the
phir anjan the
pass se guzar gaye woh iss tarah
jo pehle kabhi humara jahan the

dekh lo tum aake
arsh ka haal kya hai
pal do pal ka mehmaan hai yeh
jee ke karna kya hai


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...