lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu sachet tandon & sachet-parampara - bekhayali

Loading...

bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye

main jo tumse door hoon
kyun door main rahoon
tera guroor hoon
aa tu faasla mita
tu khwaab sa mila
kyun khwaab tod doon oo

bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
kyun judaai de g-ya tu ye sawaal aaye
thoda sa main khafa ho g-ya apne aap se
thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye

hai ye tadpan, hai ye uljhan
kaise jee loon bina tere
meri ab sab se hai annban
bante kyun ye khuda mere hmm

ye jo log-baag hain
jungle ki aag hain
kyun aag mein jalun
ye nakaam pyaar mein
khush hain haar mein
inn jaisa kyun banun oo

raatein dengi bata
neendon mein teri hi baat hai
bhoolun kaise tujhe
tu toh khayalon mein saath hai

bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye

nazar gira de har ik manzar
ret ki tarah bikhar raha hai
dard tumhaara badan mein mere
zeher ki tarah utar raha hai

nazar gira de har ik manzar
ret ki tarah bikhar raha hai
dard tumhaara badan mein mere
zeher ki tarah utar raha hai

aa zamaane aazma le roothta nahin
faaslon se hausla ye toot’ta nahin
naa hai woh bewafa aur na main hoon bewafa
woh meri aadaton ki tarah chhoot’ta nahin

source : https://naalyrics.com/bekhayali-lyrics-kabir-singh/


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...