lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu rudraksh asv - laapata (missing)

Loading...

haan
(verse 1)
meri saansein gawah si meri, aur zindgi bhi udaasi de rhi
meri har wajah gunah si lagti, sang yeh zakhm sabaasi de rhi
main kar rha jo kaam na, aur kal se karta se kaamna
mere har pal mujhko kachotey aise, khud se kar rha saamna
main kwaab na bunta kal ke, bad rehta hoon pareshaan sa
mayush hoon par jata doon kaise, raah bhi toh asaan na
hoon jaanta ki kadra karen na, insaan bhi insaan ka
bhagwan bhi insaan bane, insaan bana anjaan sa
kyoin maan na milta sach ko, aur jhoot se judti bhavana
sabke mooh pe taale lage, jab ghut jaata imaan haan
main samjhu na khud ko alag, par seh na paaun laalsa
har din jeeta kal ki aasa mein, pal bhi lagta saal sa

(chorus)
main laapata
main raag naveen hoon raakh ka
main laapata

main laapata
khusiyaan haseen jo paas na
main laapata

(verse 2)
mere jitne dard hai saare, sabko ho ilaaj na
dastak bhi samay de rha, neeyati se hai haadsa
jo bhi mila usme khush hoon, par bujti dil ki pyaas na
main khaas ki , aas ki , saaj kahun, aitraaz karen awaam yahan
mann chanchal bhatke raahon pe, gunaaho se karen raabta
main baath loon khusiyaan saari, jo bhi rehta ho paas haan
naraaz rahoon dujo ko dekh, kismat bhi ban jati seekh
main aage badhoon maangu na bheek, hisse ka le ,chahe milen anek
hum kal ki khwaish karen, par saajish na karte hai hum
dujo ko bhi socha karte, loote na kisi ka rakam
kuch log hote aise hai , bin mulyo ke besharam
hum unme se na aate hai, haq ki maange , vishwas karam

(chorus)
main laapata
main raag naveen hoon raakh ka
main laapata

main laapata
khusiyaan haseen jo paas na
main laapata

(verse 3)
fursat se na ho barkat, karm khel apna hai jamghat
hum karzdaar bhoole saari hasrat, mila jo haq ka usse kehte kismat
hum rehmat ki maane bas harkat, bhagwan basen insaa kankar
jo bhi dukhi sabse kahoon bas, yeh kashmakash rahen na har waqt
main laapata aas bankar, hoon kya pata vishwas bankar
tujhme rahunga main saas bankar, ek pal haseen kuch khaas banakar
kuch na badlega laash bankar, kuch bhi na hoga udaas rehkar
jo bhi hoga ladunga sehkar, kaagaz ki naav ka lamba yeh safar
(outro chorus)
main laapata
main raag naveen hoon raakh ka
main laapata


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...