lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu rohit kdm - mere baba saheb - rohit kdm

Loading...

1891, 14 april
baba sahab ka janam
mahu madhey pradesh
dalit samaaj shedul cast
likha samvidhaan phir bhi apne dum pe

desh ki wo aandhi jiski ruki na kalam
pure dil se karu aaj unko naman
hoshle jazbe ka aisa udharan
statue bane unke aaj desh bhar me

bita bachpan kaafi dukh dard me
padne ichha paisa na tha ghar me
kaise kaise karke puri ki padayi
aaj bacha bacha fan milega ghar me

sir jhukta unke liye pure garv se
gaana ye samman me haa meri tarah se
bhedbhaw jhela sub pe bhari wo akela
phir bhi maani nhi haar kisi ke darr se

bahar baithke pada wo vidyarthi school ka
na koi uneh chhoota tha, na koi uneh puchhta
isi bartaav ne haa bana diya aisa dekh
namo nishan mita diya usne chuachhut ka..(2x)

desh ki awaaj pure desh ki awaaj
mere baba sahab haa mere baba sahab
likha samvidhaan jisne likha samvidhaan
1950 haa 1950

desh ko hai naaz jispe desh ko hai naaz
jai ho baba saheb mere jai ho baba sahab
jo log samjhte hai unko ab bhi chhota
abe unki badolat tum khule me lete saans

shiksha ki taaqat unke haath me kitaab
nile coat pant chehre pe chasma
gyan ke pratik the wo itne mahaan
satute bane unke india ke bhi bahar

desh ke liye humesha diya yogdaan
badi thi soch or uchh vichaar
kisi ka bhi kabhi usne mara nhi haq
or subko dilaya usne molik adhikaar

phir bhi janwar jaisa unse kiya bartaav
apne zamane me sahe atyachar
peene ke paani ka adhikaar na tha
nhi liya usne kabhi apna badla

dalit the wo bus yhi tha gunaah
isliye unko chhuna tha mana pr
hosla ni chhoda subse aage wo doda
or father of indian constitusion wo bana

badla samaaj usne kalam ki nok pr
salaam karta hu me unki aisi soch pr
wo le sakta tha badla apni har ek chot ka
pr na tha uske dil me kisi ke liye bhi khot pr (2x)

desh ki awaaj pure desh ki awaaj
mere baba sahab haa mere baba sahab
likha samvidhaan jisne likha samvidhaan
1950 haa 1950

desh ko hai naaz jispe desh ko hai naaz
jai ho baba saheb mere jai ho baba sahab
jo log samjhte hai unko ab bhi chhota
abe unki badolat tum khule me lete saans…


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...