lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu rahib khan - karma

Loading...

dil mai honay laga saneha
dil mai honay laga saneha
ab saaray milkay parho fateha
bicharh gaya hai pura kaarwaa
mai samjhata rehta tha apnay londo ko
ke yeh baatein meri samajho
badi ghalat cheez hai saneha
ke badi ghalat cheez hai saneha
badi ghalat cheez hai saneha
samjhata rehta tha mai apnay ladko ko
ke badi ghalat cheez hai saneha

hum falsafay bhi yeh likhte rehe
hum nazmay ghazlay bhi likhte rahe
zindagi ki yeh seediyan charhte rahe
dushman yeh mere mujhse darte rahe
meri kala aur lafzon se marte rahe
woh hasad ki aatish mai jalte rahe
jo qadar kabhi hamari karte na the
aaj in verses ki tareefein karte rahe

kyun na mai likhu apnay amaal pe
shayad sabsay bada gunehgaar mai
karte rehte woh baatein mere kirdaar pe
khamoshi karleta hu mai bhi ikhtiyaar
kyunke mujhe maa baap ki di hui tarbiyat yaad hai
hum zindagi mai iss bandagi mai
sharmindagi se iss gandagi mai
darindagi pe afsurdgi mai
aur kia likhu mai iss zindagi pe
aafat badi hai mushqil gharhi hai
mere lotnay ko ek tang gali hai
yeh hadsaat to ab kuch nahi hai
lamhe yeh mujhpe beetay gaye hai

dil mai honay laga saneha
dil mai honay laga saneha
ab saaray milkay parho fateha
ab saaray milkay parho fateha
bicharh gaya hai pura kaarwaa
mai samjhata rehta tha apnay londo ko
ke yeh baatein meri samajho
badi ghalat cheez hai karma


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...