
lirik lagu qafilah, bleed ink & kafil qurashie - shikayatein
[chorus: bleed ink]
kya shikaytein janaab aap se
jo tumko chu lein, itr ki mehak uthay sharab se
j~sme mere zakhm aakay bhar de koi, marhamon se dhak de
mujhko darr lagta hai waisay inqalab se
[verse 1: bleed ink]
yeh suna ki sarkashi ke pehlu gark~e~darya hogaye
goya ki ab mere ashaar sab be zariya hogaye
main ab lehr~lehr hun, sab jagah, main ab behr~behr
mujhse beh rahi fana ka tum nazarya hogaye
hum iss qadr dafan hojayenge tumhari haaye main
ki tum jab shayri padho tab hum ubhar ke aayein ge
iss qadr nashay main liptay lafz ban hi jaaye toh
tumhare lab pe aakay bhi hum phir sambhal na paayein ge
yeh be~maina sabr hi mera imtihaan hai
saba aur phool khil rahay hеin mere inteqaal pе
main apna j~sm dhak raha ki gidh noch na le dil
wahan visaal~e~yaar ruh ko khaye itminaan se
tumhara muaina mere adal ko ikhtiyaar de
main darta na qabr se utna jitna ikhtitaam se
mujhko rab toh na mila bas uska khauf mil gaya
yeh aisa kya sabaq padha diya mere imaam ne?
mujhpe kufr ki tauhmatein hasb~e~mamool ban gayi
yeh ladkhadati nazmein qasb~e~maazoor ban gayi
mainay har sifat ko apni fardiyat baksh di
uth ke dekha to wahan pe bazm~e~makuul bangayi
mujhpe jo aayi qayamat kanoon bangayi
jo tum pe aayi toh woh hashr~e~masoom bangayi
hum pe jo giri toh barish khanjaron si hogayi
jo tum pe aa giri toh dast~e~khatoon bangyi
be~shanakht sang~dilon ka kyun janab harj?
be~shumaar zehmatein hein, be~shumaar marz
yeh saraab kaafi meri pyaas mitane ko
mujhko be~daraaz ban na gar chukana tera karz
lag rahi mujhay ab iss qadr shuwayein sard
jal rahi khizaan ke sang ab ghul raha dhuen main abr
ab hum taash leke teri majlison main jaan~e~mann
tu aisa haath khel haar jayein hum jue main dard
[chorus: bleed ink & qafilah]
kya shikaytein janaab aap se?
jo tumko chu lein, itr ki mehak uthay sharab se
j~sme mere zakhm aakay bhar de koi, marhamon se dhak de
mujhko darr lagta hai waisay inqalab se
kya shikaytein janaab aap se?
jo tumko chu lein, itr ki mehak uthay sharab se
j~sme mere zakhm aakay bhar de koi, marhamon se dhak de
mujhko darr lagta hai waisay inqalab se
[verse 2: qafilah]
maangti dua hai tu, henna sajaye haath parr
tapak rahe hain aansun tere meri zinda laash parr
be~jaan hoon main jaan~e~jaan, main thhakk chuka hoon raat bhar
yeh shayiri ka basta bhaari, baandho apni aant parr
main koshishein karoon ki bhook tum ko chhue na
yeh dard ye siyaahi parr khareede koi na
mujh ko darr hai bikk na jayein kaano’n ki ye baaliya’n bhi
khaali jaeb’ein leke phir se aunga na ab yahan
main iss jahan~e~malguzar hai muflisi mana
chalte jaana zindagi toh saansein kheenchna kala
main ne maana ki main mehnat kash kabhi na bann saka
tha azal se tooti phooti bikhri cheezo’n ka khuda main
dil mein aag jall rahi hai
sarr mein chadta hai dhuaan
iss dhuen mein dikh raha nahi
asal hai kya gumaan
mera ranjj kha raha hai mujh ko shauq se janaab
chalo koi toh kha raha hai kuch toh ab yahan
muskurana, gham chhupana hum se hota hi nahin
dariya saamne hai parr main roza kholta nahi
ab sharam si lagg rahi hai gham bataane mein mujhe
samajh na paya main wajah kiya samjhota bhi nahi kabhi
kabhi nazar mein aati hai siyah si roshni
phir machalta hai khayal toh pighalti hai ghadi
mere haatho’n ki lakeero’n mein hai behti ek nadi
jiss mein aks toh mera hai parr woh lagta main nahin
garz ye hai mujh se doori ikhtiyaar karr
apne mann ke parde parr tu mera ishtehaar padd
jiss pe likh diya hai maine falsafa~e~intezaar
thartharate qalmo’n se hi behti ramz ki sharaab
ishq tera bann chuka hai teri qaid ka sabab
goya ghul gaya ho gul mein meetha sa koi zeher
jao jao waqt rehte meri khaamiyon se door
khuda ne chaha mill jayenge phir se hum zaroor
noor
[chorus: bleed ink, qafilah, both]
kya shikaytein janaab aap se?
jo tumko chu lein, itr ki mehak uthay sharab se
j~sme mere zakhm aakay bhar de koi, marhamon se dhak de
mujhko darr lagta hai waisay inqalab se
kya shikaytein janaab aap se
jo tumko chu lein, itr ki mehak uthay sharab se
j~sme mere zakhm aakay bhar de koi, marhamon se dhak de
mujhko darr lagta hai waisay inqalab se
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu mädhouse (austria) - you can't lead a whore
- lirik lagu kid tobby - ¿cuanto falta para vernos?
- lirik lagu novision - #fuckeveryone2021
- lirik lagu melody's echo chamber - in the stars
- lirik lagu teejayboy - bad energy
- lirik lagu isaa corva - free
- lirik lagu cowgirl clue - ballet flat$ on the ga$ pedal
- lirik lagu 7wizard - ghosted connection
- lirik lagu ian wagon - civil war
- lirik lagu jet walker (us) - quicksand