lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu prod. azlan & maarij - stay longer

Loading...

[intro: maarij]
aksar (hmm)
teri woh yaadein mujhse aakar karti hain
guftugu bhi (ooh)
hans kar
mein bhi bhula deta hoon baatein saari
ab justuju nahi (hmm)

[chorus: maarij]
kaise unn lamhon se mein baahir hi naa aasaka
qadmon se be~jaan, naa mein jaa saka
tu hi thi laazim mujhko, tu hi dawa
par ab naa tera raasta, aur naa koi waasta
(aur naa koi waasta)
hmm

[verse 1: maarij]
teri pukaar mere naam ki mere kaanon may
tu bas aagayi, mein shaam se teri yaad may
guldaan toota para wahin
murjhaa gaye saaray phool kab ke, apna hi ghar sajaa rahi
ab mein sitaara lagun jaise dooriyan koi wajah nahi
tu door hai kahin (hmm)
inn yaadon may basaa hoon kabse
tu hi nahi
iss dhun may hi phansa hoon kabse
aayein awaazein
pukaarein mujhe saaray
guzaari kitni raatein mein ne
bin tere saharay
teri ghaltiyon ki wajah mein hi banun
qalam ke rang may mein bhar doon lahu
mera seena bhi band hua, kaise sahun?
gaya thakk mein iss duniya se, kaise marun ab?
woh sagay jo bethe hain umeedein laga ke mujhse
mere apne tou wohi, woh qaasir hain mujhse, mein baatil hoon unpe
ab lagta nahi hai dar mujhe haar se
ab har mehfil may mujhse poochein tere baaray, hmm
mein rahun ya naa rahun
tu rahay ya naa rahay
bas yeh dua rahay ke
tera kuch bhalaa rahay
[chorus: maarij]
kaise unn lamhon se mein baahir hi naa aasaka
qadmon se be~jaan, naa mein jaa saka
tu hi thi laazim mujhko, tu hi dawa
par ab naa tera raasta, aur naa koi waasta

[outro: maarij]
woah


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...