
lirik lagu pindi boyz - muahida
(intro)
kaafi dafa humaaray maslay itnay baray nahi hotay jitnay hum unko bana lete hain
aur jis waqt is baat ka pata chalta hai, kaafi dair ho jaati hai
to matlab… to matlab aqalmand wohi hai jo cheezon ko, zindagi ko jaldi samajh jaaye
waise bhi mard ka kaam hona chahiye dimaagh se sochna, jazbaat se nahi
(verse 1 – hashim nawaz)
mujhse nafrat karne waalay dikhtay mere jaisay
barri ulfat hoti bhaiyon mein, suna tha maine
hum girray hain kaafi, kitni izzat, kitnay paisay
hum hain faani, par mumkin ho to lafzon mein rehtay
jo de ijaazat rabba to yeh kalam chal paray
na chalay to phir kaise khud ki kamzori pe gila karein
shakal se zaahir kitna hota, iski khabar na hai
lekin hai guzaarish, jab bhi milen — hans ke mila karein
main kitna ghor karun, londay kitna parda daalein
kitni parwah ka naatak kar ke doon inko dilaasay
na nazar milay, aur na baat karay — kaan bharray
hasad nahi chupta jiggar, isko nahi aise chupaatay
duniya ko badaltay nahi, duniya se bas seekhtay hain
thoray mureed jaani, thoray hum bhi peer se hain
thay madadgaar bohat, maanga upar waalay se
par mehfilon mein zikar rapper, ghar mein baithay cheekhtay hain
kya azaad khwaahishaat ka ghulaam jo?
kya ghulaam khwaahishaat se azaad jo?
meri zaat, meri jaan ki na qeemat lagaa
qaabil mein hoon jiska, rabba woh na mera haal ho
yeh salaakhein… upar se guzar jaati
samajh aati to na bhaati
upar se yeh jazbaati
har waar lagta zaati
par yeh waar karna laazim
mujh pe paabandi be~maani, be~matlab — dushman kya haavi honay?
har qadam hai karam, har karam pe shukar bhoola
safar khatam hoke bhi musaafir rehta adhoora
chaahat apni is kalam se duniya ke dilon ko choona
zabardasti tabhi verses apnay mein na karta poora
baat qadr ki hai, teri nazar ki hai
duniya meri mohtaaj, teri samajh ki hai
laakh baat karo, baat rehti amal ki hai
dekhein chotay kis rukh mein soch teri badalti hai
kalakaar fitna
hone se mere tujhe bata kya hai milta?
zamana khareedaar, par na khair bikta
khilaaf yeh huay jaise badal baitha main firqa
(verse 2 – fadi)
kaash kuch sawaal kabhi janam hi na letay
to tabaahi ke jaanib hum kabhi kadam hi na letay
tum ne tod ke meri haisiyat se karaya rubaru rooh
kaash ke hum tumhein kabhi kasam hi na detay
dekha zamane ko to usi ke rang mein dhal gaye
jo na socha tha, hum to woh bhi kar gaye
safeed libaas mein malboos — aur dafan karna baaqi
humein na dhoondh, tu — hum to salon pehle mar gaye
bandon ko mana rahay, aur rab hi nahi raazi
nahi banna hai namaazi, par banna khuda~mijaazi
haal mushkil mein aaya jab yaad aaya maazi
sochon ke jung se kaun loota? yahaan pe ghaazi
dil mein hain posheeda raaz baray gehre
na to be~nikaab kar sakta, be~hisab chehray
beshak har fareb par dili taskeen bohot
tabah na kar, bata ke hum ghalat fehmi mein reh rahe
ehsaan na loon dobaara kyun ke tu hai gin raha
ab karta nahi gawara ke phir se loon sahaara
hai pyaas behtareen ki, magar miqdaar be~maani hai
samundar mil bhi jaye, par paani hota khara
woh bolen awara tu, aur sangat bhi aansuon se
awara dil ke saaf hotay — naav ke tum jaison se
aur samajh jaayein ke tujhe duniya~daari aa gayi samajh
jab lage ghar mein bhi hai izzat teray bas paison se
ek din woh bhi aana — duniya se chalay jaayenge
par bhoolega na koi — muqaam aisa banaayenge
mera yahi manna — baat karne se bantay
kis ne socha tha, hashim aur fadi saath aayenge?
waar karne walay — sar dar mujhe waar se nahi
tano’n se hoon khoof~zada, main haar se nahi
bolen chotay baat hai, yeh baray nahi bhulaaday tu
thokar pathar se lagti hai — pahaar se nahi
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu fangs (fr) - pussycat
- lirik lagu psilk - dive
- lirik lagu 049 gus - how i'm feelin
- lirik lagu yayu - the shroom says hi
- lirik lagu dj chris cross & lil double 0 - michael myers
- lirik lagu marblx3 - another
- lirik lagu lil squeaky - blackout idol (sammythefish cover)
- lirik lagu elhae & phabo - is this love?
- lirik lagu ρασέλ (rasel) (grc) - καυτά φιλιά (kauta filia)
- lirik lagu darkoo & victony - psycho