
lirik lagu pindi boyz, hashim nawaz & fadi - muahida
[intro: hashim nawaz]
~ahem~
kaafi dafa hamaray maslay itne baray nahi hote
jitne hum unko bana lete hain
aur jis waqt iss baat ka pata chalta hai, kaafi dair ho jaati hai
tou matlab—
tou matlab, aqalmand wohi hai
jo cheezon ko, zindagi ko, jaldi samajh jaaye
waise bhi mard ka kaam hona chahiye
dimaagh se sochna, jazbaat se nahi
huh
[verse 1: hashim nawaz]
mujhse nafrat karne walay dikhte mere jaise
bari ulfat hoti bhaiyon may, suna tha mein ne
hum gin rahay hain kaafi, kitni izzat, kitne paise
hum hain faani, par mumkin ho tou lafzon may kehte
jo de ijazat rabba tou yeh qalam chal paray
naa chalay tou phir kaise khud ki kamzori pe gila karein?
shakal se zaahir kitna hota, iski khabar naa hai
lekin hai guzaarish jab bhi milein, hans ke mila karein
mein kitna ghaur karun, launday kitna parda daalein
kitni parwah ka naatak kar ke doon inko dilasay
naa nazar milay aur naa baat karein, kaan dharay
hasad nahi chhupti jigar, isko nahi aise chhupate
duniya ko badal dena, duniya se bas seekhte hain
thoray mureed jaani, thoray hum bhi peer sе hain
thay madadgaar mo’dbana upar walay se
par mehfilon may zikar, rapper ghar may bеthe chheenkte hain
kya azaad khuwahishat ka ghulaam jo
kya ghulam khuwahishat se azaad jo
meri zaat, meri jaan ki naa qeemat laga
qaabil mein hoon jiske, rabba, woh naa mera haal ho
yeh salaahein upar se guzar jaati
samajh aati tou naa bhaati
upar se yeh jazbaati
har waar lagta zaati, par yeh waar karne laazim
mujhpe pabandi be~maani, bematlab dushman kya haavi hone?
har qadam hai karam, har karam pe shukar bhoola
safar khatam hoke bhi musaafir rehta adhoora
chaaha kabhi iss qalam se duniya ke dilon ko chhoona
zabardasti tabhi verses apne mein naa karta poora
baat qadar ki hai, teri nazar ki hai
duniya meri mohtaaj, teri samajh ki hai
laakh baat karo, baat rehti amal ki hai
dekhin chotay kis rukh may soch teri badalti hai
kalakaar fitna, hone se mere tujhe bata kya hai milta?
zamana khareedar, par naa khair bikta
khilaaf yeh huay jaise badal betha mein firqa
[interlude: fadi]
yeah, yeah
fadi
[verse 2: fadi]
kaash kuch sawaal kabhi janam hi naa lete
tou tabahi ki jaanib hum kabhi qadam hi naa lete
tu ne torr ke meri haisiyat se karaya rubaru
kaash ke hum tumhein kabhi qasam hi naa dete
dekha zamanay ko tou ussi ke, rung may dhal gaye
jo naa socha tha hum tou, woh bhi kar gaye
safaid libaas may malboos aur dafan karna baaqi
humein naa dhoond tu, hum tou saalon pehle mar gaye
bandon ko manaa rahay, rabb bhi nahi raazi
nahi ban’na hai namaazi, par banday khuda majaazi
haan, mushkil may aaya jab yaad aaya maazi
sochon ki jung se kaun laut aaya phir ghaazi?
dil may hain poshida, raaz baray gehre
inko be~naqaab kar doon mein, behisaab chehre
beshak hai fareb par dil may taskeen bohot
tabaah naa kar bata ke, hum ghalat fehmi may reh rahay
hissa naa loon dobara, kyun ke tu hai kinara
ab karta nahi gawara, ke phir se loon sahara
hai pyaas behtareen ki, miqdaar be~maani hai
samandar mil bhi jaaye par paani hota hai khaara
woh bolay, “awaara tu, aur sangat bhi aison se”
awaara dil ke saaf hote, naa ke tum jaison se
woh samajhein ke tujhe duniya daari aagayi samajh
jab lagay ghar may bhi hai izzat teri bas paison se
ek din woh bhi aana, duniya se chalay jayenge
par bhoolega naa koi, muqaam aisa banayenge
mera yehi maan’na baat karne se banti
kisne socha tha hashim aur fadi saath aayenge?
waar karne walay se dar
mujhe waar se nahi, taanon se hoon khaufzada, mein haar se nahi
bolay chhoti baat hai yeh, bari bhi bhulaa de
thokar pathar se lagti hai, pahaar se nahi
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu bruce springsteen - sunliner
- lirik lagu logan hate & ckazpa beats - agresor
- lirik lagu beanie sigel - who shot you
- lirik lagu lastelle - tired eyes
- lirik lagu ella langley & hardy - never met anyone like you
- lirik lagu insomtripple - кинотеатр родина (rodina cinema)
- lirik lagu paygotti - gsr
- lirik lagu ynw melly & juice wrld - suicidal remix (v4)
- lirik lagu ladiferencia2006 - los mios
- lirik lagu sealemup - mold