lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu nasir shah & zaazze - qareeb

Loading...

na raha mera koi azeez ye kesa hai mera naseeb
ki kho baitha sab kuch mai wo jo the mere dil ke qareeb
mai ek ek karke sab ko khota raha hu
meri ankhein bataati mai sota kaha hu
sab ke liye bila akhir bas ek dhoka raha hu
tanhaayiyon mai jaan aksar rota raha hu

mere liye banke aaya tha wo aasra
mera veham tha ki mai bhi tera khas tha
mai bas duhe mai baitha ab khaasta
teri khamoshiyaan ne qayam kiya faasla

inn tanhaayiyon ne dil mai makan kar liya
tumne marna mere liya aasan kar diya
tumne maut ka zarya apne naam kar liya
meri jaan ye tumne kaisa kaam kar liya

labou pe tera naam leke zehan ko paigaam dete
dil ka imtihaan lete ghumo ki ek shaam deke
duniya ki bheed mai bss tujhko hi pukaarte the
tu jab bhi aaya paas hum bhi faaslo se saans lete
na tujhse huva raabta nasho ka kiya khaatma
qasam khayii thi teri jbb rakha sar pe haath tha
dhundlaa tha wo raasta tera hi tou aasra..
phir se pohcha ussi jagah jis jagah se bhaagta tha
chand log hi tou thay mere dil qareeb
ab unn se bhi faasla par qayaam umeed
zaroorat nahi kisi ki na faraham koi cheez
mujhe chorh do akela mai khud hojao ga theek
mai khud ho jaaoga theek na aao mere qareeb
maine badla nahi chehra wo khud huve tabdeel
bas dil pe ek bhoj na suni gayi daleel
bas phir faasle hi faasle na huve phir qareeb


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...