lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu nasir shah & zaazze - masaafat

Loading...

nasir shah :
ye ghum hai tera jaanejaan jo kar raha mashoor
umeedein saari mujhse par mai nashe mai hu choor
har taraf tanhaiyaan aur tanhaayiyon mai hum
jo fiqrr tujko meri phir kyun baithe itna door

atif malik :
aaj phir baitha kinnare pe
aaj phrr likhunga gaane mai
aas ni lgata khudse ab
aaj bhi tere sahare pe
ab baki toh kch bhi nahi hai
jo kehni thi baate bta di hai maine
jiske unwaan the tum
jo saare afsanay jala diye hai maine
ab bachi yhn raakh hai bss
aur teri kch yaad hai ab
ye basti ujhard jati kbki
ye tjhse abad hai bss
tjhse meri koi sifarish krde
milne bulaye guzarish krke
hum yaadon k registaan mai bethe
zindagi khushk koi baarish krde

ruthke aaya hu m phrr ghrse
dhund rha hu tjhe phrrse
kеhdo bahaar ko laut aaye
sukhe hai barg~o~gul phrrse
dard milla chaav mai, ab dard diya dhoop nе
saha ni jayega mjhse dard tere roop me
mai ho jaunga thk, mera dard chla jayega
tu ek baar aake mjhse haal chaal puchle
aaj saaf puchlenge baat tere dil ki
kehne awaaz tere dil ki !
karke barbaad mjhe !
hai gali hai abad tere dil ki
teri meri baat bhi ab ni
bewajah ki aas bhi ab ni
kaise rahu ab mai pehle jaisa
tu to mere sth bhi ab ni
nasir shah :
ye ghum hai tera jaanejaan jo kar raha mashoor
umeedein saari mujhse par mai nashe mai hu choor
har taraf tanhaiyaan aur tanhaayiyon mai hum
jo fiqrr tujko meri phir kyun baithe itna door

aaj phir baitha udaas khudse
bayaan na kar pao haal dil ke
jo dil mai chupa hai ek raaz bana hai
naraaz na baith kar baat mujhse

kya dil mai mere mai batata bhi nahi
ye muhabbat meri koi tamasha tou nahi
tere hone se thi dil ki gali aabad
tere jaane ke baad koi aaya hi nahi

aaye tou bhot par aane na diya
uski yaadon ne dil mai thikaana kar liya
saboot e muhabbat jo na mila koi
gaano se gawah ek zamana kar liya
tumne jaane ka bas ek bahana kar liya
kitaab e zindagi mai afsaana likh liya
andhero mai andhera aur andheray mai ek chehra
unn andhero mai baitha kya andhera hi ghr mera

khuda ke qareebi masaafat hai duniya se
mila khuda se aur cheena hai duniya ne
sabko chale jaana kon bacha duniya mai
emarat khadi hai par kamzoor ye bunyaade
khuwaabo ko rakha hai maine sirhaane
banake teri yaadon ko jo sahare
mai baitha rehta hu sahil ke kinaare
aaye tou koi lehar tere naam pe

baitha hu shant phir kala kyu kholti raaz hai
aankhein hai lal aur bhikre hai baal
hu aayine se narz kyun baitha mai aaj
safay hai khali aur qalam hai paas
ye shayri hai meri na koi ardaas
tum baaton pe gour bhi karo jinab
mai chorhu khuda pe na karta mai baat
ki aakhir mai wohi karega hisaab


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...