lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu nasir shah & zaazze - ibtida

Loading...

parvaazo se shaheen tou dara nahi karte
jo rehte hum haq pe tou lada bhi karte
ek baat bata du mai saari awaam ko
ek tarfa aashiq bas mara hi karte

baitha mai likhne ko raat ke chaar
dimag mai mere hazaaro sawaal
mai apne hi gaano mai dhoodhu jawab
bas numaaish nahi karta zakhm behisaab

ek kash pe ek gaana janab tayaar
wo kehte sunade apni kahani ekbaar
adhuri kahani ka kya hai hisaab
kisiki kahaani kisi ka azaab

mujhe karege yaad mere jaane ke baad
mujhko sone na dete hai tere khayal
mere shehar mai ab tak na meri shanakht
tou mai likhu kya shehar pe karu kya baat

aati beaton pe vibe jab jalte hai joint
vision hai blurry par clear hai point
tumko jaana hai jaao its all your choice
i’m talking to streets and i’m paranoid

harkat mai barkat kala bani kartab
rahu zinda mai markar sabar se qabar tkk
mai jaagta rehta eesha se fajar tkk
aur ye log mujhe bole nasir tu sabar rakh
ye mera nahi farz ki mai aao tumhe bachaane
qasam khuda ki ye rishte mujhe aate nahi nibhaane
sukoon mai rehne ko tou lgta hogaye zamane
hu khanabadosh mai tabhi badalta rehta thikaane

baby mera flow jaise ty in the shows
mard e mujahid hum ladke bas 2 (do)
wo aaye giraane leke poori fauj
mai chaati chodha ke bolu jaani inko aane do
aane do ~ aane do
aane do ~ aane do
aane do
aane do

aane do jitne hai aane do yeah aane do aane do
aane do aane do taqat aazmane do
banate bahane 100 phir kehte jaanedo
khali h jebay par roti hai khane ko
10 min leta mai likhne ek gaane ko (yo!)

aane do ~ aane do
chupa liya hai ghum mujhe ab muskuraane do
sharminda bhot mai ab qabar mai jaane ko
aane do ~ aane do
aane do aane do jitne hai aane ko
maut ka saman rakha hai sirhaane ko
bhot se armaan jo sab se chupaye ho
hum baatein nahi chodte krke dikhate bro
naeze talwaaro se darte nahi gaazi ha
zindagi ban gayi phanda ek phaansi ka
sadko pe ghoome hai khuaf nahi talashi ka
kaat diya maine tha panna jo maazi ka
palak jhapakte hi falaq hai qaadmo mai
shayar phase huve nafas ke lafdo mai
zameen pe soya aur khuwaab daikhe arsho ke
bolo mai tumko jo bolke kya samjhoge


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...