lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu nabeel akbar - parinda

Loading...

[intro]
khud say bana hu jaise khud ki umeed
doob ke jura ho kisi peer ka mureed
jaise asmaan may koi urta parinda
badalon say upar khuda~paak ke qareeb (yeah)
rahay jo hamesha marr ke bhi zinda (han)
asal woh loug gaye haar ke bhi jeet
hoon main nahi tum sabsa farishta
han sahi kaha, mujhe maar dena theek (yeah)

[verse 1]
ghoom raha kabse khud ki bani qaid may
kehne ko azaad magar bairiya’n hain pair may
ghaseetein mujhe pichay jab bhi aagay jau main
jese lagay mujhe phir say kar chuka hu deyr main
gham ghol ke main peeta zeher may
dil khol ke main jeeta shehar main
lagay jese kabhi lotunga na phir say
lakho’n uljhane har lamhe may chalein is zehen may
soch~soch ke bheja na phatt jaye
aqsar mujhe apne~aap say he darr lagta hai
agar dil mera pathar ka hai
toh phir kyu mujhe har pal teri parwa hai
sarko’n say raatbhar ghar ko na jayе
sabse chupaye zakham dil pe jo khayе
mitanay ke liye raat ko tareekiya’n
diwana har roz bekhabar betha dil ko jalaye
[pre~chorus]
khud say bana hu jaise khud ki umeed
doob ke jura ho kisi peer ka mureed
jaise asmaan may koi urta parinda
badalon say upar khuda~paak ke qareeb
rahay jo hamesha marr ke bhi zinda
asal woh loug gaye haar ke bhi jeet
hoon main nahi tum sabsa farishta
han sahi kaha, mujhe maar dena theek

[chorus]
khud say bana hu jaise khud ki umeed
doob ke jura ho kisi peer ka mureed
jaise asmaan may koi urta parinda
badalon say upar khuda~paak ke qareeb
rahay jo hamesha marr ke bhi zinda
asal woh loug gaye haar ke bhi jeet
hoon main nahi tum sabsa farishta
han sahi kaha, mujhe maar dena theek

[verse 2]
kitne panne bharay, kitne maine phaar phenke?
puri zindagi charao or utaar dekhe
jese bohot pehle maut mere lagi gallay
lagay jese cheera jeewan rabb say main udhaar leke
dikhe mujhe jo guzar chukay sab yaar mere
acha hota agar kya woh mujhe maar dete?
zindagi ki hogi koi toh waja
tum dhoondne niklo toh dekho laakho tere paas pehle
betha hisaab karne khudse main kitaab leke
ghulaam khuwahisho’n ke, hoga tu azaad kaise?
tum inteqaam laite ho kisi ki jaan lay ke
battar tum haiwaan say par khud ko tum insaan kehte
kisi kaam ke nahi honge, meri jaan, paise
agar tum is daur main sab apno’n ko gawah bethe
sapnay toh sajaye par woh puray na ho paye
rabb ki marzi ke agaay chalay kisi ki bhi majaal kaise?
[pre~chorus]
khud say bana hu jaise khud ki umeed
doob ke jura ho kisi peer ka mureed
jaise asmaan may koi urta parinda
badalon say upar khuda~paak ke qareeb
rahay jo hamesha marr ke bhi zinda
asal woh loug gaye haar ke bhi jeet
hoon main nahi tum sabsa farishta
han sahi kaha, mujhe maar dena theek

[chorus]
khud say bana hu jaise khud ki umeed
doob ke jura ho kisi peer ka mureed
jaise asmaan may koi urta parinda
badalon say upar khuda~paak ke qareeb
rahay jo hamesha marr ke bhi zinda
asal woh loug gaye haar ke bhi jeet
hoon main nahi tum sabsa farishta
han sahi kaha, mujhe maar dena theek

[verse 3]
rakha nahi jaata jazbaato’n par apne qabu
dil main ghum he itne zyada ajayein hanste~hanste aansu
kya hai koi dawa ke main saara kuch bhula doon
saaray dard ko mitaa de jo, kya hai koi aisa jaadu?
mujhe bata dou, mujhe rasta koi dikha dou
mere yaar say milwa dou, ya phir yaado’n ko mita dou
kisi tarah mere dil ko aur tarapne say bacha lo
agar hu main bewafa toh mujhe zinda tum jala dou
abhi mujhe chhor dou akele
mujhse door rakho loug jo badalte hain chehre
mujh ko sonay deti raato’n main nahi goli ki awazein
toh tum mere liye jaan, kya tum itne ache dost?
mere khayalo’n ko kisi tarah rouk nahi sakte
toh nigaaho’n ko he bharne say dubara rouk lete
meri aankho’n main dikhe mujhe jo beeti zindagi
jab bhi guzrein hum dubara, kabhi usi road pe say (dang)
[outro]
khud say bana hu jaise khud ki umeed
doob ke jura ho kisi peer ka mureed
jaise asmaan may koi urta parinda
badalon say upar khuda~paak ke qareeb
rahay jo hamesha marr ke bhi zinda
asal woh loug gaye haar ke bhi jeet
hoon main nahi tum sabsa farishta
han sahi kaha, mujhe maar dena theek


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...