lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu nabeel akbar - aashiq

Loading...

[verse 1: nabeel akbar]
taras g~ya hun sunnay ko teri awaaz phir se
koi na jaanay jese tum jaano ye haal dil ke
rok lia aansuon ko aankhon ki dehleez pe
tha meri jaan jo wo aaj mere saath nahi hai
thi kal jo zindagi ab hogai kese ajnabi
they pehle bhi gham kam nahi par chalo ye ek or sahi
dafnaya jidhar laila ko ho meri bhi qabar wahin
sahi kaha tumne mohabbat mere liye nahi bani
aadat si hogai hai mjhko tanha jeenay ki
nashay mein aksar lagta baatein karti hein tasveerein bhi
tha jesa bhi wo magar apnay liye tw yaar tha
us bewafa se mjhe jaana betahaasha pyaar tha
qatal kar daala jisne mere eitbaar ka
shukriya karna chahta hun mein jaaneman aap ka
ab dil na denge hum kisi ko jesе khaali qasam
awaara hog~ya mein raatein meri saari jashan
dagmagaata phirеy dhundta sahaara
leke ghumta sharaabi dil mein yaadon ka kuch bhaari wazan
ird gird mere husun ka bazaar lagey
dil ye mera jaanay kiun bs rukta tjhpe aakay magar
band kartey aankhein aksar mjhko ho tm aatay nazar
chalay g~ye jeevan bhar saath nibhaanay ki khaa ke qasam
ro para aasman bhi jese mere saath mein
kaali ghatayein chaaron taraf chaaye kaalay baadal
[chorus: muheet khan]
mere aansu bewafa jo nikaltay is tarah
hotay aankhon se juda kisi or ke liye
jaaneman na hum khafa na kartay kabhi dagha
bas tarasta dil mera tere pyaar ke liye

[verse 2: nabeel akbar]
dillagi mein dil ko esi chot lagi
jeetay ji mjhe wo jese meri maut lagi
tootay huay ko or tum kitna tor sakogey?
bichaaray ko tw raha marnay ka bhi khof nahi
kabhi lautenge na pal wo sabhi meine tjhko jo diye
meine mera pyaar yaar dost sab kho diye
na khushi jeet ki na haarnay ka gham raha
kuch apni bhi nahi parwa hoga dekha jayega jo bhi hai
pal mein sanwartay pal mein jaatay tum bikhar
apni na sahi kamazkam apnon ki tw kar fikar
khush rakhay khuda unko g~ye jo bichar
kuch jo khaas bachay paas meri jaan wo jigar
dikhney mein teri nazar se tw kamaal lagegi
guzregi jab tjhpe tujhe bhi azaab lagegi
qismat pe chalta nahi kisi ka bhi zor
mera gala sookh raha kia sharaab milegi
girey na jang mein hog~ye pyaar ka shikaar
sunogey kahaani tumhein bhi mazaak lagegi
kaash maan leta uski mein wo baat
usne kaha bhi tha mjhe wo barbaad kardegi
[chorus: muheet khan]
mere aansu bewafa jo nikaltay is tarah
hotay aankhon se juda kisi or ke liye
jaaneman na hum khafa na kartay kabhi dagha
bas tarasta dil mera tere pyaar ke liye


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...