lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu mehdi hassan, fayyaz hashmi & m. ashraf - main jo shayar kabhi hota

Loading...

main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta

chaand ko chaand na kehta, tera chehra kehta

tujhko le udta hawa banke main, khushboo ki tarah

umr bhar rakhta zamaane ki nigaahon se pare
dil bhi gar poochhta, tera to kabhi na kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta

khushnaseebi se mujhe apni hi lagta hai yeh dar

meri khushiyon ko na das le kisi dushman ki nazar
chashm~e~bad~door na kehta to bhala kya kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta

tere kadmon pe hi jaan apni fida kar deta

aakhri farz mohabbat ka adaa kar deta
aur isi farz~e~mohabbat ko main sajda kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta
chaand ko chaand na kehta, tera chehra kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta

Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...