lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu mehak kaur - dooriyan

Loading...

mera hoke bhi mera
kyun nahi hai tu bata?
tere samne hoon magar
kyun nahi tu dekhta?

hai batana sab tujhe
par tu sunta na mujhe
tera waqt chahoon magar
tu hamesha uljha rahe

kitna tujhse hai pyar yeh batana maine tujhe
par mujhko lagne laga hai main nahi kuch tere liye

tukdo mein hai tu
tukdo mein hoon main
ek dusre ki zaroorat hai
yeh samajhta kyun na tu?

tukdo mein hai tu
tukdo mein hoon main
teri hoon main magar
mera kyun raha na tu?

pyar karta hai na tu
phir dikhata kyun na tu?
intezaar hi reh gaya hai
yaad karta hi na tu
jiska dar tha ho raha
tu kyun nahi kuch bolta?
waade tune kiye the jo
unko tu bhi nibha

dheere dheere ek duje ko hum khone ab lage
rokta tu nahi mujhko main kaise kahoon tujhe ke

tukdo mein hai tu
tukdo mein hoon main
ek dusre ki zaroorat hai
yeh samajhta kyun na tu?

tukdo mein hai tu
tukdo mein hoon main
teri thi main magar
mera kyun raha na tu?

roz roz marti main hoon
har pal yehi sochti hoon
kaash tu aur main pehle ki tarah

har khushi mein saath hote hum
baant the jo saare hai gham
par itni kyun badh gayi yeh dooriyan
yeh dooriyaan

kaise kho doon main tujhe?
chodh ke na ja tu mujhe
phirse hoga na yeh mujhse
thak gayi hoon khudse ladke

chal tu khush hai phir tu jaa
yaad rakhna tu hamesha
pyar hai bohot tujhse
tu kare ya na kare mujhse


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...