lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu maddoxhiphop - ink bleeds red

Loading...

pehle sheher me koi ni khaas tha
pehle sheher me sabhi log aam the
janta kare abb bharat ki party
abb sheher me koi nahi aam hai

par mera to ek hi sawal hai
kab tak hote rahenga hadse?
kab tak wo jaygi bahar ni?
kab tak wo lade halaat se?

kab tak milega insaaf ni?
kab tak bikega insaan ye ?
kab tak ni ayegi sans is sheher me?
kitna mai jiyunga aaj se?

par sarkaar to chale araam se
farak pade na use koi baat se
wo janta ke vote se janta ko bhool ke
dede bas jhoote dilaasе

mai kehna hu chahta bas ek hi ye baat
ki sabko milе yaha bas insaaf
ki koi na maange yaha dharam pe vote
aur koi na kare yaha jaatiwaad

par jaatiwaad lejati jaan
aur jaati jaan, to jaane do
jara si baat pe ho vivaad
aur note hai jaate thane ko
gareebi shrap, kare bhi kya?
wo roz tarasta khane ko
ho karni baat halaat ki
mai kehta mujhse na milo

dakaiti kand, ho jate aam
aur ansune likhe bayaan
pate ki baat kare jo aaj
ussi ki dekho jaan nisar

hai gramino ke haal behaal
suvidha na, karna ilaaj
hawaniyat ka pardafash
ussi ke peeche hai sarkaar

na karne ko yaha aitbaar
kisi pe dekho aise haal
hai karti janta pashchataap
agle chunav ka intezar

par honi phirse yhi baat
aur hue bhi ye kai baar
sarkar thi chuni jinhone
karein wo kisse sawal?

mai khud nahi chahta likhna aaj
par likhna, mera samvidhan
maze ki baat, jaga diya
mere andar ka jo kranti kar
punya paap, kon gine yaha punya paap?
mulyawan har ek jaan idhar mulyawan
bure haal hai sadko pe asal bure haal
gunhegar, yaha daftar me baithe gunhegar

khaki ko izzat matalab izzat hai wardi ki
baki paitrey jante, inki saari ran’niti
hawa se vanchit rajdhani, halat ye delhi ki
gareeb pe yaha chat na, ye ginate gdp

aropi bahar ghume, koi chinta hi nahi hai
salakhon ke peeche nirodosh chinta hi nahi hai
par zinda ni chahiye haiwan iss desh me
kabhi sochta hu bas jaun kya mai bhi videsh me?

jab haal hi kuch aise to kare bhi kya insaan?
mai sochu apne baare? apna desh, pariwar?
ya aaye din dekhu, bhrashtachar, balatkar?
kabhi daya aati dekh ke wo sarhad pe jawan

ye sadakchaap neta dete puruskaar
leke baitha salahakar, kiye kitne karamkand
sharamshaar janta, netaon ka dikhe paropkar
kaha inka bharosa, mai karu bhi to karu kya?

roya insaaf likhe qalam se kuch zulm aise
qalam chode siyahi, panno pe sirf khoon behte
jhoot mai bolu bhi to satya ke samaan wo bhi
neta ka sach, uga suraj ho uttar se jaise


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...