lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu maddoxhiphop - gehri soch

Loading...

roz chale kaafila mere saath han
mushkilen kaafi rasta na asaan tha
bhool aaya chhodh aaya moh maya
kehta kuch na par kaafi kuch jaanta

dhyaan karu jhaaku khud me, vipasana
baitha duniya se dur mann shaant sa
prem shanti me chahu yahi aastha
soch khuli jitni uper dikhe aasmaan

mai, puchu khud se ki aur kitna aage jana?
kehta mann mera chuke mujhe falak aana
samwaad dil se par koi na samajh paa rha
kala tolein meri sabdon ka ye wazan zyada

shaant paani, ye soch gehri jaanleva
baat bhaari kahi devlok pe jaan dera
saath jaali to fir arjun wala baand mera
aankh kaandi karu machli tu, shikar mera

saath dera unko chalte jo hai saath mere
haath dera jo koi gire bhale baad mere
jhoot se khaar mujh ko tu sach se bhaagte reh
dagah pе maafi na ye haath mere jaan lеle

ye sab jo likh raha mai na ye bas shauk mera
zindagi paano pe mai dil se hun sab bol dera
hoga na baad mere jaisa sab ko bol dena
likhdu mai patthar pe ye bol mere tol dena
aatma ye amar to fir paschataap kaisa?
bina bhay jeeta zindagi na sabka haal aisa
yaha noton se kala ye tolein bhrashtachar behta
inko paiso ki hi bhook pata pachta na hai paisa

par mai sahi in sab se na loabh mujhe zyada
jitna hissa mere haq ka na usse zyada chahta
meri kala se pehchaan mujhe yahi sab hai aata
mera man jo kahe mujhe mai likhu wahi gaata

sangeet mere nass me, karam dharam kalam ye
ho chuke kaafi ~rs~, likh chala kaafi nazme
khuda tabhi hai sang me, saza~e~maut iss jung me
waqif hu mai iss jag se, duniya daari se rung se

mai tapp karu jogi jaisa baitha koi himalaya me
pratigya meri kala se chuna falak shivalaya se
se soch sada swach meri khot iss zamane me
prashansha hoti kaafi abhi likhta jo afsanay mai

yaha bhai chaara pehle aur baad me rishtedari
hum gaane nahi yaha pe zindagi likh rahe jaani
jab 16 saal ka tha sapne ye the dikhte kaafi
aur abb sapne dikh rhe aise meri pushte baithe khaari

samjhegi mujhe duniya jab ho jaygi kaafi derr
buniyade kaafi thoss meri han musafir mai
ye tajurba itna zyada likhta gaane kaafi tezz
na gumaan iss baat ka par sab pe haavi mai
log bole ki ye duniya itni zyada galat kyu
mai bolu unse pehle yaha logo me hai farak kyu?
yaha bhed bhao, jaat paat, pehle aata dharam kyu?
jab hum hi hai bure to ye duniya bani narak kyu?

samaaj deta taane aur samaaj deta gaali
maine kiya andekha aur baat khudki maani
kahani kisi aur ki aur kisi ki zubaani
yaha rakhu na bharosa kyuki aadhi duniya jaali

aur ye baat karw asal li, likhta yaha sach kon
ye gaana likha dil se uske upar mere lafz aur
geeta pe rakhu haath aise gaane likhdu das aur
tu soch me pada ye soch bani kaise sabdkosh

jaante ye sab jaise bhagwaan hai dost inka
asal me gaane inke wahi jaane kon likhta
jeet ki bhook jaise bhooka hu mai bohot din ka
bhare ye panne kitne puch mat ab mai ni ginta

kalakaar kalakaari ka wajood hu mai
kuch na se bohot kuch ka saboot hu mai
jitna naram lage utna hi majboot hu mai
chinta karam ki han ussi se mashoor hu mai

ye naam dikhe mera jaha naam digajjon ke
pehchaan hai banate jo na dikhe dikkaton me
ye daur sune mujhe bole kon iss sabdon me?
hai chaap aisi chhodhi kaabhi na mit saku mai


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...